یہ اولیا کا غرور سہرا
Yeh Auliya Ka Ghurur Sehra
Show
یہ اولیا کا غرور سہرا
۱
یہ اولیا کا غرور سہرا، یہ انبیا کا وقار سہرا
تمام قرآن کی روح سہرا، تمام دین کا نکھار سہرا
تمام پھولوں، تمام کلیوں کی بزم کا افتخار سہرا
مزاجِ آدم کی وادیوں میں خلوص کی آبشار سہرا
تمام سہروں کی انجمن میں ہے اس لیے تاجدار سہرا
یقین ہے حوروں نے خود پرویا ہے خلد میں بار بار سہرا
جو خوش ہوئے ہیں کلی کلی ان کو دے رہی ہے دعائیں اب تک
کہ اس کے تاروں سے پھوٹتی ہیں علی ولی کی ادائیں اب تک
Yeh Auliya Ka Ghurur Sehra
1
Yeh Auliya ka ghurur sehra, yeh Anbiya ka waqaar sehra
Tamaam Quraan ki ruh sehra, tamaam din ka nikhaar sehra
Tamaam phuloṅ, tamaam kaliyoṅ ki bazm ka iftikhaar sehra
Mizaaj-e-Aadam ki waadiyoṅ meiṅ khulus ki aabshaar sehra
Tamaam sehroṅ ki anjuman meiṅ hai is liye taajdaar sehra
Yaqin hai huroṅ ne khud piroya hai khuld meiṅ baar baar sehra
Jo khush hue haiṅ kali kali un ko de rahi hai duaaeṅ ab tak
Keh us ke taaroṅ se phutti haiṅ Ali Wali ki adaaeṅ ab tak