Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

یہ بات مان لیجیے تکرار کے بغیر

Yeh Baat Maan Lijiye Takraar Ke Baghair

Add to set
Show

یہ بات مان لیجیے تکرار کے بغیر

۱ یہ بات مان لیجیے تکرار کے بغیر محشر نہ ہوگا بارھویں سرکار کے بغیر
۲ وہ دیکھو جا رہا ہے عریضہ سوئے امام کاغذ کی ناؤ چلتی ہے پتوار کے بغیر
۳ قائم وہاں سجائیں گے عباس کا علم کعبہ بنا ہے اس لیے مینار کے بغیر
۴ آنکھیں کھلی رہیں گی تیرے انتظار میں مر بھی گیا جو میں تیرے دیدار کے بغیر
۵ مولا منافقین کو سمجھا لیا بہت یہ لوگ اب نہ مانے گے تلوار کے بغیر
۶ چاہے علی علی کر چاہو پڑھو نماز دونوں ادھورے لگتے ہیں کردار کے بغیر
۷ دل کہتا ہے وہ آتے ہی پہنچیں گے کربلا مہدی نہیں لڑیں گے علمدار کے بغیر
۸ بعدِ ظہور میر تکلم یقین ہے محفل نہ ہوں گی میثمِ تمار کے بغیر

Yeh Baat Maan Lijiye Takraar Ke Baghair

1 Yeh baat maan lijiye takraar ke baghair Mahshar na hoga baarhveṅ Sarkaar ke baghair
2 Woh dekho jaa raha hai ariza su-e-Imam Kaaghaz ki naao chalti hai patwaar ke baghair
3 Qaaim wahaaṅ sajaaeṅ ge Abbas ka alam Kaaba bana hai is liye minaar ke baghair
4 Aankheṅ khuli raheṅ gi tere intezaar meiṅ Mar bhi gaya jo maiṅ tere didaar ke baghair
5 Maula munaafiqin ko samjha liya bohat Yeh log ab na maane ge talwaar ke baghair
6 Chaahe Ali Ali kar chaaho parho namaaz Dono adhure lagte haiṅ kirdaar ke baghair
7 Dil kehta hai woh aate hi pahoncheṅ ge Karbala Mehdi nahiṅ lareṅ ge Alamdaar ke baghair
8 Baad-e-zuhur Mir Takallum yaqin hai Mehfil na hoṅ gi Misam-e-Tammaar ke baghair