یہ خوشبو اور یہ سایہ بولتا ہے
Ye Khushbu Aur Ye Saya Bolta Hai
Show
یہ خوشبو اور یہ سایہ بولتا ہے
یہ خوشبو اور یہ سایہ بولتا ہے
علی گزرے ہیں راستہ بولتا ہے
۱
یہ منبر ہے سلونی کا یہاں سے
غدیرِ خم کا مولا بولتا ہے
اسے تم بھیڑ میں بھی ڈھونڈ لو گے
علی والے کا چہرہ بولتا ہے
۲
میرے اشعار قنبر سن رہے ہیں
سمندر چپ ہے قطرہ بولتا ہے
عزاخانوں میں منبر سے ابھی تک
غدیرِ خم کا خطبہ بولتا ہے
۳
یہ ارضِ خم ہے سورج کی زبان میں
یہاں کا ذرہ ذرہ بولتا ہے
ولایت کے شجر کا ذکر سن کر
ہے جس کا جیسا شجرہ بولتا ہے
۴
میری گفتار پر حیرت نہ کیجیے
علی چاہیں تو مردہ بولتا ہے
کبھی سنیے بلالِ کاظمی کو
علی کے حق میں بندہ بولتا ہے
Ye Khushbu Aur Ye Saya Bolta Hai
Ye khushbu aur ye saaya bolta hai
Ali guzre haiṅ raasta bolta hai
1
Ye mimbar hai Saloni ka yahaaṅ se
Ghadir-e-Khum ka Maula bolta hai
Use tum bhir meiṅ bhi dhund lo ge
Ali waale ka chehra bolta hai
2
Mere ashaar Qanbar sun rahe haiṅ
Samandar chup hai qatra bolta hai
Azaakhaanoṅ meiṅ mimbar se abhi tak
Ghadir-e-Khum ka khutba bolta hai
3
Ye arz-e-Khum hai suraj ki zabaan meiṅ
Yahaaṅ ka zarra zarra bolta hai
Wilaayat ke shajar ka zikr sun kar
Hai jis ka jaisa shajra bolta hai
4
Meri guftaar par hairat na kijiye
Ali chaaheṅ to murda bolta hai
Kabhi suniye Bilal-e-Kazmi ko
Ali ke haq meiṅ banda bolta hai