Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

سخاوتیں کہہ رہی ہیں کھل کر حسین جیسا سخی نہیں ہے

Sakhaawateṅ Keh Rahi Haiṅ Khul Kar Husain Jaisa Sakhi Nahiṅ Hai

Add to set
Show

سخاوتیں کہہ رہی ہیں کھل کر حسین جیسا سخی نہیں ہے

سخاوتیں کہہ رہی ہیں کھل کر حسین جیسا سخی نہیں ہے سخی بہت ہیں جہاں میں پر حسین جیسا سخی نہیں ہے
۱ جو کارِ شبیر بن گئے ہیں فضیلتوں کے لیے فائلات وہ معجزاتِ مخیرانہ سناؤں گا میں بشکلِ مدحت ضرور تم بھی کہو گے سن کر حسین جیسا سخی نہیں ہے
۲ ہر ایک اس بات سے ہے واقف وہ چاہے منکر ہو یا مومن سخی مخیر نبی کے گھر میں ہے ایک سے بڑھ کے ایک لیکن فلک کے نیچے فلک کے اوپر حسین جیسا سخی نہیں ہے
۳ اگر یہ چاہیں تو چاند تارے اڑ کے ان کے قدموں کو چومیں تمام فرشی تمام عرشی طواف کرنے کو گرد گھومیں ہے اس کا احسان سب کے اوپر حسین جیسا سخی نہیں ہے
۴ حسین مولا نے بچپنے سے سخاوتوں کے ہنر دکھائے کہ بال و پر جل چکے تھے میرے مجھے دوبارہ پر دلائے پکارا فطرس اڑان بڑھ کر حسین جیسا سخی نہیں ہے
۵ گلے لگا کر جنابِ حر کو زمین سے آسمان بنایا پسر عطا کر کے نسلِ راہب کا ننقطہ سلسلہ چلایا ہے اس کا انداز سب سے بہتر حسین جیسا سخی نہیں ہے
۶ جو مستحق تھے انہی کی خاطر تمام رنج و الم بھلا کر شبِ خاموشاں کی تیرگی میں اشرفیاں پشت پر اٹھا کر کرے جو امداد گھر پہ جا کر حسین جیسا سخی نہیں ہے
۷ پیمبروں سے جو ہو نہ پایا وہ کام کر کے دکھا رہا ہے کہ سر کٹا کے اے ربِ کعبہ تیری خدائی بچا رہا ہے گواہی دیتا ہے کند خنجر حسین جیسا سخی نہیں ہے
۸ ہمیں یقین ہے وجیہ یاسر زبان سچی یہی کہے گی بنائے توحید ڈھونڈتے ہو اس کے سجدے تلے ملے گی یہی حقیقت ہے بندہ پرور حسین جیسا سخی نہیں ہے

Sakhaawateṅ Keh Rahi Haiṅ Khul Kar Husain Jaisa Sakhi Nahiṅ Hai

Sakhaawateṅ keh rahi haiṅ khul kar Husain jaisa sakhi nahiṅ hai Sakhi bahut haiṅ jahaaṅ meiṅ par Husain jaisa sakhi nahiṅ hai
1 Jo kaar-e-Shabbir ban gaye haiṅ fazilatoṅ ke liye faailat Wo mojizaat-e-mukhairaana sunaauṅga maiṅ bashakl-e-midhat Zarur tum bhi kaho ge sun kar Husain jaisa sakhi nahiṅ hai
2 Har ek is baat se hai waaqif wo chaahe munkir ho ya momin Sakhi mukhaiyar Nabi ke ghar meiṅ hai ek se barh ke ek lekin Falak ke niche falak ke upar Husain jaisa sakhi nahiṅ hai
3 Agar ye chaaheṅ to chaand taare ur ke in ke qadmoṅ ko chumeṅ Tamaam farshi tamaam arshi tawaaf karne ko gird ghumeṅ Hai is ka ehsaan sab ke upar Husain jaisa sakhi nahiṅ hai
4 Husain Maula ne bachpane se sakhaawatoṅ ke hunar dikhaaye Ke baal o par jal chuke the mere mujhe dobaara par dilaaye Pukaara Fitrus uraan barh kar Husain jaisa sakhi nahiṅ hai
5 Gale laga kar Janaab-e-Hur ko zamin se aasmaan banaaya Pisar ata kar ke nasl-e-raahib ka nunqata silsila chalaaya Hai is ka andaaz sab se behtar Husain jaisa sakhi nahiṅ hai
6 Jo mustahiq the unhi ki khaatir tamaam ranj o alam bhula kar Shab-e-khaamoshaaṅ ki tirgi meiṅ ashrafiyaaṅ pusht par utha kar Kare jo imdaad ghar pe jaa kar Husain jaisa sakhi nahiṅ hai
7 Payambaroṅ se jo ho na paaya wo kaam kar ke dikha raha hai Ke sar kata ke ae Rab-e-Kaaba teri khudaai bacha raha hai Gawaahi deta hai kund khanjar Husain jaisa sakhi nahiṅ hai
8 Hameṅ yaqin hai Wajhi Yasir zabaan sachchi yehi kahe gi Binaa-e-tauhid dhundte ho is ke sajde tale mile gi Yahi haqiqat hai banda parwar Husain jaisa sakhi nahiṅ hai