سرور کے عزادار
Sarwar Ke Azadar
Show
سرور کے عزادار
سرور کے عزادار
مظلوم کی تلوار سرور کے عزادار
ہیں دیں کے مددگار سرور کے عزادار
۱
اللہ نے جب خلق کے معیار بنائے
جو ظرف کشادہ تھے وہ سردار بنائے
سرداروں میں کچھ صاحب انوار بنائے
انوار تراشے تو عزادار بنائے
اب جو میرے مولا کا عزادار نہیں ہے
خود سے ذرا سوچے کہ وہ بیکار نہیں ہے
۲
تخلیق کی ترتیب میں ہیں چار عناصر
سب ہیں میرے مولا کے عزادار عناصر
اس واسطے ہیں صاحب اسرار عناصر
خود کرتے ہیں اس بات کا اقرار عناصر
نہ آگ نہ پانی سے نہ ماٹی نہ ہوا سے
ہم خلق ہوئے فاطمہ زہرا کی دعا سے
۳
سچ ہے کہ نظر ہو تو ہٹے عیب نظر کا
موسم تو کبھی دیکھیے توحید نگر کا
مغموم فضا سرخ شفق حزن سحر کا
کالا ہے غلاف اس لیے اللہ کے گھر کا
توحید پرستار ولی ابن ولی ہے
خالق بھی عزادار حسین ابن علی ہے
۴
کس ظرف کا حامل ہے عزادار کا سینہ
نہ بغض نہ الحاد نہ اوہام نہ کینہ
ہے کرب و بلا کا یہاں آباد مدینہ
اس شہر میں دشوار ہے اغیار کا جینا
سینے پہ جو ماتم کی یہ تحریک چلی ہے
سینے میں ہے دل دل میں حسین ابن علی ہے
۵
ہم سینوں پہ ماتم سے بناتے ہیں مصلے
ہوتی ہے اذاں جب تو سجاتے ہیں مصلے
ماتم کے جلوسوں میں بچھاتے ہیں مصلے
خود اپنی زباں سے یہ بتاتے ہیں مصلے
سجدوں میں بھی شبیر کو روتا ہے نمازی
شبیر کا ہر ماتمی ہوتا ہے نمازی
۶
اٹھتا ہے جو ماتم کو عزادار کا پنجہ
تہذیب کے سینے پہ ہے افکار کا پنجہ
پانچ انگلیاں ہیں پانچ کے اقرار کا پنجہ
ہر دور میں ہر ظلم کے انکار کا پنجہ
اسلام کی بنیاد کا ڈھانچا بھی یہی ہے
رخسار یزیدی پہ طمانچہ بھی یہی ہے
۷
حب دار کی آنکھوں میں ہے رحمت کے ذخیرے
پلکوں میں چھپے ہیں کہیں اشکوں کے جزیرے
جب کوہ بصیرت سے اترتے ہیں یہ ہیرے
ہو جاتے ہیں تبدیل مقدر کے وطیرے
سدرہ سے عزادار کو آتی یہ صدا ہے
اس جنس کا محشر میں خریدار خدا ہے
۸
اک اشک سے ہو جاتی ہے سانسوں کی طہارت
اک اشک سے بجھ جاتی ہے دوزخ کی حرارت
اک اشک سے کر سکتے ہو جنت کی تجارت
اک اشک سے ہو جاتی ہے مولا کی زیارت
آنکھوں کو اگر رونے کی عادت نہیں ہوگی
تربت میں بھی مولا کی زیارت نہیں ہوگی
Sarwar Ke Azadar
Sarwar ke azaadaar
Mazlum ki talwaar Sarwar ke azaadaar
Haiṅ diṅ ke madadgaar Sarwar ke azaadaar
1
Allah ne jab khalq ke meyaar banaaye
Jo zarf kushaada the wo sardaar banaaye
Sardaaroṅ meiṅ kuchh saahib-e-anwaar banaaye
Anwaar taraashe to azaadaar banaaye
Ab jo mere Maula ka azaadaar nahiṅ hai
Khud se zara soche ke wo bekaar nahiṅ hai
2
Takhliq ki tartib meiṅ haiṅ chaar anaasir
Sab haiṅ mere Maula ke azaadaar anaasir
Is waaste haiṅ saahib-e-asraar anaasir
Khud karte haiṅ is baat ka iqraar anaasir
Na aag na paani se na maati na hawa se
Hum khalq hue Fatima Zahra ki dua se
3
Sach hai ke nazar ho to hate aib nazar ka
Mausam to kabhi dekhiye tauhid nagar ka
Maghmum fiza surkh shafaq huzn sahar ka
Kaala hai ghilaaf is liye Allah ke ghar ka
Tauhid paristar Wali Ibn-e-Wali hai
Khaaliq bhi azaadaar-e-Husain Ibn-e-Ali hai
4
Kis zarf ka haamil hai azaadaar ka sina
Na bughz na ilhaad na auhaam na kina
Hai Karb o bala ka yahaaṅ aabaad Madina
Is shahr meiṅ dushwaar hai aghyaar ka jina
Sine pe jo maatam ki ye tahrik chali hai
Sine meiṅ hai dil dil meiṅ Husain Ibn-e-Ali hai
5
Hum sinoṅ pe maatam se banaate haiṅ musalle
Hoti hai azaaṅ jab to sajaate haiṅ musalle
Maatam ke julusoṅ meiṅ bichhaate haiṅ musalle
Khud apni zabaaṅ se ye bataate haiṅ musalle
Sajdoṅ meiṅ bhi Shabbir ko rota hai namaazi
Shabbir ka har maatami hota hai namaazi
6
Uthta hai jo maatam ko azaadaar ka panja
Tahzib ke sine pe hai afkaar ka panja
Paanch ungliyaaṅ haiṅ paanch ke iqraar ka panja
Har daur meiṅ har zulm ke inkaar ka panja
Islam ki bunyaad ka dhaancha bhi yehi hai
Rukhsaar-e-Yazidi pe tamaancha bhi yehi hai
7
Hubdaar ki aankhoṅ meiṅ hai rahmat ke zakhire
Palkoṅ meiṅ chhupe haiṅ kahiṅ ashkoṅ ke jazire
Jab koh-e-basirat se utarte haiṅ ye hire
Ho jaate haiṅ tabdil muqaddar ke watere
Sidra se azaadaar ko aati ye sada hai
Is jins ka mahshar meiṅ kharidaar Khuda hai
8
Ik ashk se ho jaati hai saansoṅ ki tahaarat
Ik ashk se bujh jaati hai dozakh ki haraarat
Ik ashk se kar sakte ho jannat ki tijaarat
Ik ashk se ho jaati hai Maula ki ziyaarat
Aankhoṅ ko agar rone ki aadat nahiṅ hogi
Turbat meiṅ bhi Maula ki ziyaarat nahiṅ hogi