Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

صدا رن سے عباس کی آ رہی ہے

Sada Ran Se Abbas Ki Aa Rahi Hai

Add to set
Show

صدا رن سے عباس کی آ رہی ہے

صدا رن سے عباس کی آ رہی ہے شجاعت کی تاریخ دہرا رہی ہے رجز سن کے شیرِ خدا کے پسر کا جبینِ دو عالم جھکی جا رہی ہے
۱ مرا نام عباس غازی لقب ہے مجھے حکمِ سرور کا پاسِ ادب ہے رجز اب سنے میرا فوجِ ستمگر علی کا پسر ہوں یہ میرا نسب ہے جو خیبر شکن ہے امیرِ عرب ہے
۲ میں نیزے پہ چاہوں زمیں کو اٹھا لوں ابابیل کا بھی میں لشکر بلا لوں فلک مثلِ کاغذ زمین پر الٹ کر خدا کی قسم میں علی سے دعا لوں خدا کا غضب میرا قہر و غضب ہے
۳ شرف ہے غلامِ حسین و حسن ہوں سخاوت کی مسند پہ جلوہ فگن ہوں فنا و بقا ہیں مری دسترس میں میں پابندِ حکمِ امامِ زماں ہوں شہِ دین کی چاہت ہی میری طلب ہے
۴ علی کی جبیں پر ہے جو نور میں ہوں دلیری شجاعت میں مشہور میں ہوں وفا تا قیامت ہے منسوب مجھ سے حرم کی حفاظت پہ مامور میں ہوں مری خامشی کا فقط یہ سبب ہے
۵ سنو میرا منصب ہے مشکل کشائی زمانے کی کرتا ہوں حاجت روائی میں ذات و صفات میں علی کی طرح ہوں ہے میرے تصرف میں ساری خدائی کہ باب الحوائج تو میرا لقب ہے
۶ میں چاہوں تو دریا سے فوجیں ہٹا دوں میں انبار لاشوں کی رن میں لگا دوں فقط ایک نیزے کی ضربِ گراں سے جو چاہوں تو فوجِ عدو کو مٹا دوں ہجومِ عدو کی مجھے فکر کب ہے
۷ نبوت کو میرے دادا نے پالا مرے بابا حیدر نے حق کو سنبھالا رگِ دینِ حق میں ہمارا لہو ہے نسب میں حسب میں ہوں سب سے میں اعلیٰ کہ قاتل پہ رحمت ہمارا کسب ہے
۸ محب غیظ میں تھا علی کا غضنفر رجز سن کے لرزاں تھی فوجِ ستمگر ترائی پہ قبضہ تھا شیرِ جری کا فقط یہ رجز تھا جری کے لبوں پر ہمارے سبب سے وجودِ عرب ہے

Sada Ran Se Abbas Ki Aa Rahi Hai

Sada ran se Abbas ki aa rahi hai Shujaat ki taarikh duhra rahi hai Rajaz sun ke Sher-e-Khuda ke pisar ka Jabin-e-do aalam jhuki ja rahi hai
1 Mera naam Abbas Ghaazi laqab hai Mujhe hukm-e-Sarwar ka paas-e-adab hai Rajaz ab sune mera fauj-e-sitamgar Ali ka pisar huṅ ye mera nasab hai Jo Khaibar shikan hai Amir-e-Arab hai
2 Maiṅ naize pe chaahuṅ zamiṅ ko utha luṅ Abaabil ka bhi maiṅ lashkar bula luṅ Falak misl-e-kaaghaz zamin par ulat kar Khuda ki qasam maiṅ Ali se dua luṅ Khuda ka ghazab mera qahr o ghazab hai
3 Sharaf hai ghulaam-e-Husain o Hasan huṅ Sakhaawat ki masnad pe jalwa figan huṅ Fana o baqa haiṅ meri dastaras meiṅ Maiṅ paaband-e-hukm-e-Imaam-e-Zamaaṅ huṅ Shah-e-din ki chaahat hi meri talab hai
4 Ali ki jabiṅ par hai jo nur maiṅ huṅ Daleri shujaat meiṅ mashhur maiṅ huṅ Wafa taa qayaamat hai mansub mujh se Haram ki hifaazat pe maamur maiṅ huṅ Meri khaamshi ka faqat ye sabab hai
5 Suno mera mansab hai mushkil kushaai Zamaane ki karta huṅ haajat rawaai Maiṅ zaat o sifaat meiṅ Ali ki tarah huṅ Hai mere tasarruf meiṅ saari khudaai Ke Baab-ul-Hawaaij to mera laqab hai
6 Maiṅ chaahuṅ to darya se faujeṅ hata duṅ Maiṅ anbaar laashoṅ ki ran meiṅ laga duṅ Faqat ek naize ki zarb-e-giraaṅ se Jo chaahuṅ to fauj-e-adu ko mita duṅ Hujum-e-adu ki mujhe fikr kab hai
7 Nabuwwat ko mere daada ne paala Mere Baaba Haidar ne haq ko sambhaala Rag-e-din-e-haq meiṅ hamaara lahu hai Nasab meiṅ hasab meiṅ huṅ sab se maiṅ aala Ke qaatil pe rahmat hamaara kasb hai
8 Muhib ghaiz meiṅ tha Ali ka Ghazanfar Rajaz sun ke larzaaṅ thi fauj-e-sitamgar Taraai pe qabza tha sher-e-jari ka Faqat ye rajaz tha jari ke laboṅ par Hamaare sabab se wujud-e-Arab hai