کربلا والوں کی زنداں سے رہائی ہو گئی
Karbala Waloṅ Ki
Show
کربلا والوں کی زنداں سے رہائی ہو گئی
کربلا والوں کی زنداں سے رہائی ہو گئی
تربتِ بالی سکینہ سے جُدائی ہو گئی
۱
اس قدر مارے تماچے ہیں شمر بدکار نے
حشر تک وہ موت بابا کی رُلائی سو گئی
۲
مومنو! منہ کو چھُپا لو نوچ ڈالو سر کے بال
سر برہنہ دشت میں زہرا کی جائی ہو گئی
۳
مثل پھولوں کی چنے تھے لاشوں کے ٹکڑے حسین
اس قدر پامال زہرا کی کمائی ہو گئی
۴
اصغرِ معصوم کا وہ مسکرانا موت پر
دیکھ کر شرمندہ دریا کی ترائی ہو گئی
۵
سر کٹا گُلزار جب مشکل کشا کے لال کا
تا قیامت دین کی مشکل کشائی ہو گئی
Karbala Waloṅ Ki
Karbala waloṅ ki zindaaṅ se rihaai ho gayi
Turbat-e-Baali Sakina se judaai ho gayi
1
Is qadar maare tamaache haiṅ Shimr badkaar ne
Hashr tak wo maut baaba ki rulaai so gayi
2
Momino! Muṅh ko chhupa lo noch daalo sar ke baal
Sar barehna dasht meiṅ Zahra ki jaai ho gayi
3
Misl phuloṅ ki chune the laashoṅ ke tukre Husain
Is qadar paamaal Zahra ki kamaai ho gayi
4
Asghar-e-Maasum ka wo muskuraana maut par
Dekh kar sharminda darya ki taraai ho gayi
5
Sar kata Gulzaar jab Mushkil Kusha ke laal ka
Ta qayaamat din ki mushkil kushaai ho gayi