Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

کربلا والوں کے نائب عزادار ہیں ہم

Karbala Waloṅ Ke

Add to set
Show

کربلا والوں کے نائب عزادار ہیں ہم

کربلا والوں کے نائب عزادار ہیں ہم غم شبیر پہ جاں دینے کو تیار ہیں ہم
۱ جب بھی عباس کے پرچم کو اٹھا لیتے ہیں اپنے ہی خون میں ہم لوگ نہا لیتے ہیں عزم حیدر سے تو زہرا سے دعا لیتے ہیں غم شبیر میں ڈھالا ہوا کردار ہیں ہم
۲ ماتمی چہرے اجالوں سے وضو کرتے ہیں پیرہن زخموں کے اشکوں سے رفو کرتے ہیں پھول سینوں کو تو آنکھوں کو لہو کرتے ہیں جس کو زینب نے سجایا ہے وہ گلزار ہیں ہم
۳ وقف ہر سانس ہے شبیر تیرے غم کے لیئے ہاتھ شانوں کا ہے عباس کے ماتم کے لئے پرورش کی گئی ہم سب کی محرم کے لئے سو گیا سارا جہاں آج بھی بیدار ہیں ہم
۴ بہتے پانی میں کبھی آگ لگا دیتے ہیں کبھی جلتے ہوئے شعلوں کو بجھا دیتے ہیں ہم عزاداروں کے آنسو یہ صدا دیتے ہیں داور صبر کا منہ بولتا انکار ہیں ہم
۵ غم دنیا کا کوئی غم نہیں کرتے ہم لوگ رونق شمعِ عزا کم نہیں کرتے ہم لوگ جب تلک شاہ کا ماتم نہیں کرتے ہم لوگ ہوتا رہتا ہے یہ احساس کے بے کار ہیں ہم
۶ یوں رش حملۂ شبیر کہاں ختم ہوئی گرم یہ جذبۂ زنجیر کہاں ختم ہوئی اب بھی زینب کی وہ تقریر کہاں ختم ہوئی وہی کوفہ ہے یہ دنیا وہی مختار ہیں ہم
۷ جو دلوں میں غم سرور کی خلش رکھتا ہے جیب میں مثل عطامیز تپش رکھتے ہیں ہر نظر میں متوکل کی روش رکھتے ہیں ایسے لوگوں سے ہر ایک حال میں بیزار ہیں ہم
۸ کتنا نایاب ہے قرآن عزاداری کا سب کو حاصل نہیں عرفان عزاداری کا مرتبہ دیکھ مسلمان عزاداری کا اک وفادار قبیلے کے عزادار ہیں ہم

Karbala Waloṅ Ke

Karbala waloṅ ke naaib azadaar haiṅ hum Gham-e-Shabbir pe jaaṅ dene ko tayyaar haiṅ hum
1 Jab bhi Abbas ke parcham ko utha lete haiṅ Apne hi khun meiṅ hum log nahaa lete haiṅ Azm Haidar se to Zahra se dua lete haiṅ Gham-e-Shabbir meiṅ dhaala hua kirdaar haiṅ hum
2 Maatami chehre ujaaloṅ se wuzu karte haiṅ Pairahan zakhmoṅ ke ashkoṅ se rafu karte haiṅ Phul sinoṅ ko to aankhoṅ ko lahu karte haiṅ Jis ko Zainab ne sajaaya hai wo gulzaar haiṅ hum
3 Waqf har saaṅs hai Shabbir tere gham ke liye Haath shaanoṅ ka hai Abbas ke maatam ke liye Parwarish ki gayi hum sab ki Moharram ke liye So gaya saara jahaaṅ aaj bhi bedaar haiṅ hum
4 Behte paani meiṅ kabhi aag laga dete haiṅ Kabhi jalte hue sholoṅ ko bujha dete haiṅ Hum azadaaroṅ ke aaṅsu ye sada dete haiṅ Daawar-e-Sabr ka muṅh bolta inkaar haiṅ hum
5 Gham-e-Dunya ka koi gham nahiṅ karte hum log Raunaq-e-Sham-e-Aza kam nahiṅ karte hum log Jab talak Shaah ka maatam nahiṅ karte hum log Hota rehta hai ye ehsaas ke bekaar haiṅ hum
6 Yuṅ rishe hamla-e-Shabbir kahaaṅ khatm hui Garm ye jazba-e-Zanjir kahaaṅ khatm hui Ab bhi Zainab ki wo taqrir kahaaṅ khatm hui Wohi Kufa hai ye dunya wohi Mukhtaar haiṅ hum
7 Jo diloṅ meiṅ gham-e-Sarwar ki khalish rakhte haiṅ Jeb meiṅ misl-e-Atamiz tapish rakhte haiṅ Har nazar meiṅ Mutawakkil ki rawish rakhte haiṅ Aise logoṅ se har ek haal meiṅ bezaar haiṅ hum
8 Kitna naayaab hai Quraan azadaari ka Sab ko haasil nahiṅ irfaan azadaari ka Martaba dekh Musalmaan azadaari ka Ik wafaadaar qabile ke azadaar haiṅ hum