کربلا والوں پہ جو گذری وہ قیامت اور ہے
Karbala Walon Pa
Show
کربلا والوں پہ جو گذری وہ قیامت اور ہے
کربلا والوں پہ جو گذری وہ قیامت اور ہے
ہر پیمبر پر جو آئی وہ مصیبت اور ہے
۱
عصر تک جو جانے کیا ہو پیاس کی شدت کا حال
صبح سے عاشور کے سورج کی حدت اور ہے
۲
کٹ کے سر دارالاعمارہ پر ہے شہہ کا منتظر
کوفیوں مسلم کا انداز سفارت اور ہے
۳
کھینچی ہے سینہ اکبر سے برچھی کی انی
آخری یہ شاہ دیں بیٹے کی خدمت اور ہے
۴
ریگ زار گرم پر چادر بچھاتے ہیں حسین
کیا کریں کہ لاشہ قاسم کی حالت اور ہے
۵
باب خیبر کا اٹھانا وہ شجاعت اور تھی
تیر کھا کر مسکرانا یہ شجاعت اور ہے
۶
دشمنان کربلا پھر معرکہ آرائی ہے آج
مجلس و ماتم کی شاہد اب ضرورت اور ہے
Karbala Walon Pa
Karbala waloṅ pe jo guzri wo qayaamat aur hai
Har payambar par jo aai wo musibat aur hai
1
Asr tak kya jaane kya ho pyaas ki shiddat ka haal
Subh se Aashur ke suraj ki hiddat aur hai
2
Kat ke sar Daarul Amaara par hai Shah ka muntazir
Kufiyoṅ Muslim ka andaaz-e-Sifaarat aur hai
3
Khinchni hai sina-e-Akbar se barchhi ki ani
Aakhri ye Shaah-e-Diṅ bete ki khidmat aur hai
4
Regzaar-e-Garm par chaadar bichhaate haiṅ Husain
Kya kareṅ ke laasha-e-Qaasim ki haalat aur hai
5
Baab-e-Khaibar ka uthaana wo shujaaat aur thi
Tir kha kar muskuraana ye shujaaat aur hai
6
Dushmanaan-e-Karbala phir maaraka aaraai hai aaj
Majlis o maatam ki Shahid ab zarurat aur hai