جس شام جلائے گئے سادات کے قیام
Haye Shaame Ghariban
Show
جس شام جلائے گئے سادات کے قیام
جس شام جلائے گئے سادات کے قیام
گزری نہیں وہ شام
پیوست ہے خنجر کی طرح دل پہ وہ ہنگام
گزری نہیں وہ شام
۱
سر بن کے ردا بن کے سر نوکِ سِناں ہے
شعلہ ہے دھواں ہے
ہے جو تہہ زنجیر تہہ طوقِ تہہ نام
گزری نہیں وہ شام
۲
مقتل کا طواف اب بھی اسی طرح ہے جاری
اک ضعف ہے طاری
کھولا ہی نہیں وقت نے اس شام کے احرام
گزری نہیں وہ شام
۳
جس شام کی غربت نے دکھایا دل سجاد
رلایا دل سجاد
زینب نے جسے شام غریباں کا دیا نام
گزری نہیں وہ شام
۴
یہ سارے ازل سارے ابد جس میں سمائے
اب کیا کہوں ہائے
جس میں سمٹ آیا ہے ہر آغاز ہر انجام
گزری نہیں وہ شام
۵
اٹھتی ہے وہی آندھیاں کٹ جاتا ہے سینہ
پھٹ جاتا ہے سینہ
ہر شام مجھے یاد دلاتی ہے وہی شام
گزری نہیں وہ شام
۶
جس راکھ میں دل میرا نوید آہ دبا ہے
اور راکھ ہوا ہے
اس راکھ میں رہ رہ کے بھڑکتی ہے وہی شام
گزری نہیں وہ شام
Haye Shaame Ghariban
Jis shaam jalaaye gaye saadaat ke qayaam
Guzri nahiṅ wo shaam
Paiwast hai khanjar ki tarah dil pe wo hangaam
Guzri nahiṅ wo shaam
1
Sar ban ke rida ban ke sar-e-nok-e-sinaaṅ hai
Shola hai dhuaaṅ hai
Hai jo tah-e-zanjir tah-e-tauq tah-e-naam
Guzri nahiṅ wo shaam
2
Maqtal ka tawaaf ab bhi usi tarah hai jaari
Ik zof hai taari
Khola hi nahiṅ waqt ne us shaam ke ehraam
Guzri nahiṅ wo shaam
3
Jis shaam ki ghurbat ne dukhaaya dil-e-Sajjad
Rulaaya dil-e-Sajjad
Zainab ne jise shaam-e-gharibaaṅ ka diya naam
Guzri nahiṅ wo shaam
4
Ye saare azal saare abad jis meiṅ samaaye
Ab kya kahuṅ haye
Jis meiṅ simat aaya hai har aghaaz har anjaam
Guzri nahiṅ wo shaam
5
Uthti hai wohi aaṅdhiyaaṅ kat jaata hai sina
Phat jaata hai sina
Har shaam mujhe yaad dilaati hai wohi shaam
Guzri nahiṅ wo shaam
6
Jis raakh meiṅ dil mera Naved aah daba hai
Aur raakh hua hai
Us raakh meiṅ reh reh ke bharakti hai wohi shaam
Guzri nahiṅ wo shaam