Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ہائے شام کی گلیاں آئی ہے

Haye Shaam Ki

Add to set
Show

ہائے شام کی گلیاں آئی ہے

ہائے شام کی گلیاں آئی ہے نیزوں پہ شہیدوں کے سر ہیں بیمار بھی چلتا جاتا ہے
۱ زنجیر الجھ کر پیروں سے کہتی ہے یہ غم کے ماروں سے کچھ دیر میں پتھر برسیں گے اس شہر کے بالا خانوں سے سجاد کا دل گھبراتا ہے
۲ بے گھر ہے مسافر بے چادر ہے کتنی اذیت کا یہ سفر بازو ہے بندھے ماں بہنوں کے سر باپ چچا کے خوں میں تر بیمار بہت شرماتا ہے
۳ ایک رسی ہے اور بارہ گلے یہ قافلہ آخر کیسے چلے جلتی ہے زمیں کانٹوں سے بھری رونے لگے پیروں کے چھالے خوں زخموں سے رستا جاتا ہے
۴ کوٹھوں پہ تماشائی ہے کھڑے اور شام کے بام و در ہے سجے امت ہے نبی کی چار طرف پڑتی ہے نبی زادی خطبے اور اشک فلک برساتا ہے
۵ دربار کا در نزدیک آیا بازار ستم اب ختم ہوا کچھ دیر اسیروں کو روکو یہ حکم یزیدی ہے آیا دربار سجایا جاتا ہے
۶ دربار ستم کی آرائش اور تخت لعیں کی زیبائش جب ہو چکی پوری تب جا کر بد کار نے کی یہ فرمائش لو جشن منایا جاتا ہے
۷ با پردہ کنیزیں بیٹھی ہے سیدانیاں ساری روتی ہیں فضہ کو بنا کر جب پردہ زہرا کی بیٹیاں چھپتی ہے سجاد کو غش آ جاتا ہے
۸ ظالم نے عجب یہ کام کیا زینب کا اچانک نام لیا گھبرا کے علی کی بیٹی نے ہاتھوں سے جگر کو تھام لیا عابد کو جلال آ جاتا ہے
۹ زنجیر چھٹک کر ٹوٹ گئی بیمار نے ایک انگڑائی جو لی دربار ستم میں شور اٹھا کیا آج نجف سے آئے علی یہ وقت قیامت آتا ہے
۱۰ دربار سے جب زنداں میں گئے سجاد پھپھی سے کہنے لگے یہ کیسا اندھیرا زنداں ہے یاں زندہ رہیں گے ہم کیسے دل میرا ڈوبا جاتا ہے
۱۱ زنداں میں سکینہ نے پوچھا گھر جائیں گے ہم کس دن بھیا یا اور کوئی باقی ہے ستم گھٹتا ہے یہاں تو دم میرا اب سانس اکھڑتا جاتا ہے
۱۲ ریحان فغاں تھی عابد کی دیکھے نہ مصیبت ایسی کوئی جو ہم نے مصیبت دیکھی ہے دیکھی نہ مصیبت نے بھی کبھی وہ وقت مجھے تڑپاتا ہے

Haye Shaam Ki

Haye Shaam ki galiyaaṅ aayi hai Naizoṅ pe shahidoṅ ke sar haiṅ Bimaar bhi chalta jaata hai
1 Zanjir ulajh kar pairoṅ se kehti hai Ye gham ke maaroṅ se Kuch der meiṅ patthar barseṅge Is shehr ke baala khaanoṅ se Sajjad ka dil ghabraata hai
2 Beghar hai musaafir bechaadar hai Kitni aziyat ka ye safar Baazu hai bandhe maaṅ behnoṅ ke Sar baap chacha ke khuṅ meiṅ tar Bimaar bahut sharmaata hai
3 Ek rassi hai aur baarah gale Ye qaafila aakhir kaise chale Jalti hai zamiṅ kaaṅtoṅ se bhari Rone lage pairoṅ ke chhaale Khuṅ zakhmoṅ se rista jaata hai
4 Kothoṅ pe tamaashaayi hai khare Aur Shaam ke baam o dar hai saje Ummat hai nabi ki chaar taraf Parti hai nabi zaadi khutbe Aur ashk falak barsaata hai
5 Darbaar ka dar nazdik aaya Baazaar-e-sitam ab khatm hua Kuch der asiroṅ ko roko Ye hukm-e-Yazidi hai aaya Darbaar sajaaya jaata hai
6 Darbaar-e-sitam ki aaraaish Aur takht-e-laiṅ ki zebaaish Jab ho chuki puri tab jaa kar Badkaar ne ki ye farmaaish Lo jashn manaaya jaata hai
7 Baaparda kanizeṅ baithi hai Sayyidaaniyaaṅ saari roti haiṅ Fizza ko bana kar jab parda Zehra ki betiyaaṅ chhupti hai Sajjad ko ghash aa jaata hai
8 Zaalim ne ajab ye kaam kiya Zainab ka achanak naam liya Ghabra ke Ali ki beti ne Haathoṅ se jigar ko thaam liya Aabid ko jalaal aa jaata hai
9 Zanjir chhatak kar tut gayi Bimaar ne ek angraayi jo li Darbaar-e-sitam meiṅ shor utha Kya aaj Najaf se aaye Ali Ye waqt-e-qayaamat aata hai
10 Darbaar se jab zindaaṅ meiṅ gaye Sajjad phuphi se kehne lage Ye kaisa andhera zindaaṅ hai Yaaṅ zinda raheṅge hum kaise Dil mera duba jaata hai
11 Zindaaṅ meiṅ Sakina ne puchha Ghar jaayeṅge hum kis din bhaiya Ya aur koi baaqi hai sitam Ghutta hai yahaaṅ to dam mera Ab saaṅs ukharta jaata hai
12 Rehaan fughaaṅ thi Aabid ki Dekhe na musibat aisi koi Jo hum ne musibat dekhi hai Dekhi na musibat ne bhi kabhi Wo waqt mujhe tarpaata hai