ہائے شام غریباں
Haye Shame Gharibaṅ
Show
ہائے شام غریباں
ہائے شام غریباں
کنبے کی نگہبان یہ کہتی ہے لرز کر
رک جا سوار میرا لوٹا گیا ہے گھر
رک جا ابھی سوئے ہیں بچے میرے رو کر
ڈالا جو ہاتھ غیض سے اسپ لگام پر
پردہ اٹھا دیا پھر گھوڑے کے سوار نے
زینب یہ رو کے کہنے لگی بابا کے سامنے
۱
اب آئے ہو بابا میرے کنبہ ہے اب کہاں
۲
عباس کھو چکی ہوں میں اکبر پہ رو چکی
بھیا تمہارے بعد میں برباد ہو چکی
زندہ میں کیسے رہ گئی میری موت ہے کہاں
۳
قاسم کی لاش ٹکڑوں میں تقسیم ہو چکی
بھیا حسن کی یہ بھی نشانی بھی مٹ چکی
دلہن ہے ایک روز کی دولہا ہے اب کہاں
۴
اصغر کے حوصلے پہ جوانی بھی رو چکی
سوکھی زباں پہ فوج ستمگر بھی رو چکی
آغوش میں رباب کی اصغر ہے اب کہاں
۵
لائی تھی اپنے ساتھ وہ انصار کھو چکی
نانا تمہارے دین پہ قربان کر چکی
میں بھی تو بے ردا ہوئی چادر ہے اب کہاں
۶
بابا میں کیا بتاؤں کہ کیا کیا میں سہہ چکی
بھیا کی لاش تیروں کے بستر پہ سو چکی
بھائی کے میرے جسم پہ اب سر بھی ہے کہاں
۷
پیاسی سکینہ بین یہ کر کر کے سو چکی
عمو ہمارے کانوں سے بالی بھی چھن چکی
کہتی ہے ہر طمانچے پہ بابا ہو اب کہاں
۸
فوج یزید شام کی حد سے گزر چکی
خیمے جلائے قیدی بھی ہم کو بنا چکی
ظالم یہ مجھ سے کہتے ہیں سجاد ہے کہاں
۹
محسن دعائے فاطمہ زہرا بھی مل چکی
حیدر سے ہر اماموں کی کڑیاں بھی مل چکی
رہبر کا ہم پہ ہاتھ ہے اوروں کو اب کہاں
Haye Shame Gharibaṅ
Haye shaam-e-gharibaaṅ
Kunbe ki nigahbaan ye kehti hai laraz kar
Ruk ja sawaar mera luta gaya hai ghar
Ruk ja abhi soye haiṅ bachche mere ro kar
Daala jo haath ghaiz se asp lagaam par
Parda utha diya phir ghore ke sawaar ne
Zainab ye ro ke kehne lagi baba ke saamne
1
Ab aaye ho baba mere kunba hai ab kahaaṅ
2
Abbas kho chuki huṅ maiṅ Akbar pe ro chuki
Bhaiya tumhaare baad maiṅ barbaad ho chuki
Zinda maiṅ kaise reh gayi meri maut hai kahaaṅ
3
Qasim ki laash tukroṅ meiṅ taqsim ho chuki
Bhaiya Hasan ki ye bhi nishaani bhi mit chuki
Dulhan hai ek roz ki dulha hai ab kahaaṅ
4
Asghar ke hausle pe jawaani bhi ro chuki
Sukhi zabaaṅ pe fauj-e-sitamgar bhi ro chuki
Aaghosh meiṅ Rabab ki Asghar hai ab kahaaṅ
5
Laayi thi apne saath wo ansaar kho chuki
Nana tumhaare din pe qurbaan kar chuki
Maiṅ bhi to berida hui chaadar hai ab kahaaṅ
6
Baba maiṅ kya bataauṅ ke kya kya maiṅ seh chuki
Bhaiya ki laash tiroṅ ke bistar pe so chuki
Bhai ke mere jism pe ab sar bhi hai kahaaṅ
7
Pyaasi Sakina bain ye kar kar ke so chuki
Ammu hamaare kaanoṅ se baali bhi chhin chuki
Kehti hai har tamaaṅche pe baba ho ab kahaaṅ
8
Fauj-e-Yazid Shaam ki had se guzar chuki
Khaime jalaaye qaidi bhi hum ko bana chuki
Zaalim ye mujh se kehte haiṅ Sajjad hai kahaaṅ
9
Mohsin duaa-e-Faatima Zahra bhi mil chuki
Haidar se har imaamoṅ ki kariyaaṅ bhi mil chuki
Rehbar ka hum pe haath hai auroṅ ko ab kahaaṅ