← All lyrics

بازار کے منظر کو اور اپنے کھلے سر کو بھولی نہیں میں

Bazaar Ke Manzar Ko Aur Apne Khule Sar Ko Bhuli Nahi Mein

Cover image for Bazaar Ke Manzar Ko Aur Apne Khule Sar Ko Bhuli Nahi Mein
Language
Urdu
بازار کے منظر کو اور اپنے کھلے سر کو بھولی نہیں میں اپنے بندھے ہاتھوں کو بیمار کے زیور کو بھولی نہیں میں 1 اٹھتی ہوئی آندھی کو محشر کو بیاباں کو چھپتے ہوئے سورج کو تاریکی کو میداں کو چلتے ہوئے خنجر کو نیزے پہ تیرے سر کو بھولی نہیں میں 2 اک چاند تھا بدلی میں چھپتا تھا نکلتا تھا پردہ درِ خیمہ کا اٹھتا کبھی گرتا تھا وہ خیمۂ لیلیٰ سے ہائے رخصتِ اکبرؑ کو بھولی نہیں میں 3 یاد آتا ہے دلہن کو غش کس طرح آئے تھے اک گٹھری شہِ والا جب کاندھوں پہ لائے تھے اُس لاش کی گٹھری کو اُس خوں بھری چادر کو بھولی نہیں میں 4 فضہ کو میرا بھائی ماں کہہ کے بلاتا تھا دم اس کا میرے بھائی کے نام پہ جاتا تھا رتبے میں جو ماں بن کر آئی اُس مادر کو بھولی نہیں میں 5 لہراتا ہوا نیزہ ہائے شمر کا وہ بڑھنا آ آ کے میرے پیچھے ہر بی بی کا وہ چھپنا شعلوں میں گھرے گھر کو چھنتی ہوئی چادر کو بھولی نہیں میں 6 یاد آتا ہے اک ماں کا وہ خاک میں دھس جانا اور آگ کے شعلوں میں وہ ماں کا جھلس جانا جلتے ہوئے جھولے سے لپٹی ہوئی مادر کو بھولی نہیں میں 7 معصوم سکینہؑ کو بڑھتے ہوئے نیزوں کو رستے ہوئے گالوں کو بے رحم طمانچوں کو دکھتے ہوئے کانوں کو کھنچتے ہوئے گوہر کو بھولی نہیں میں 8 جس رات میں تنہا تھی اُس رات کے ڈھلنے کو ٹوٹے ہوئے نیزے کو اُس رات کے پہرے کو بچوں کے سسکنے کو اور راکھ کے بستر کو بھولی نہیں میں 9 اُن شام کی گلیوں کو جن سے کھلے سر گزرے جس در سے گزرنے میں یہ سولہ پہر گزرے دربار کے اُس در کو اور شامیوں کے شر کو بھولی نہیں میں 10 ہے آج بھی وہ گریہ ہے آج بھی وہ زاری ہے آج بھی پتھر کے سینے سے لہو جاری روتے ہوئے پتھر کو پتھر پہ رکھے سر کو بھولی نہیں میں 11 آتی ہے نوید اب بھی آواز یہ زینبؑ کی ہے مجھ کو قسم صدیوں سے سوکھے ہوئے لب کی پیاسے علی اصغرؑ کو سوکھے ہوئے ساغر کو بھولی نہیں میں

Roman Urdu

Bazaar Ke Manzar Ko Aur Apne Khule Sar Ko Bhuli Nahi Mein Apne Bandhe Hathon Ko Bimar Ke Zewar Ko Bhuli Nahi Mein 1 Uthti Hui Aandhi Ko Mahshar Ko Bayabaan Ko Chhupte Huay Suraj Ko Taariki Ko Maidaan Ko Chalte Huay Khanjar Ko Nezay Pe Tere Sar Ko Bhuli Nahi Mein 2 Ek Chand Tha Badli Mein Chhupta Tha Nikalta Tha Parda Dar-e-Khaima Ka Uthta Kabhi Girta Tha Woh Khaima-e-Laila Se Haye Rukhsat-e-Akbar Ko Bhuli Nahi Mein 3 Yaad Aata Hai Dulhan Ko Ghash Kis Tarha Aaye Thay Ek Gathri Shah-e-Wala Jab Kandhon Pe Laye Thay Us Laash Ki Gathri Ko Us Khoon Bhari Chadar Ko Bhuli Nahi Mein 4 Fizza Ko Mera Bhai Maan Keh Ke Bulata Tha Dam Us Ka Mere Bhai Ke Naam Pe Jata Tha Rutbay Mein Jo Maan Ban Kar Aayi Us Madar Ko Bhuli Nahi Mein 5 Lehrata Hua Neza Haye Shimr Ka Woh Barhna Aa Aa Ke Mere Peechhe Har Bibi Ka Woh Chhupna Sholon Mein Ghire Ghar Ko Chhinti Hui Chadar Ko Bhuli Nahi Mein 6 Yaad Aata Hai Ek Maan Ka Woh Khaak Mein Dhas Jana Aur Aag Ke Sholon Mein Woh Maan Ka Jhulas Jana Jalte Huay Jhoolay Se Lipti Hui Madar Ko Bhuli Nahi Mein 7 Masoom Sakina Ko Barhte Huay Nezon Ko Riste Huay Gaalon Ko Be-Rehm Tamachon Ko Dukhte Huay Kaanon Ko Khinchte Huay Gohar Ko Bhuli Nahi Mein 8 Jis Raat Mein Tanha Thi Us Raat Ke Dhalne Ko Toote Huay Nezay Ko Us Raat Ke Pehre Ko Bachon Ke Sisakne Ko Aur Raakh Ke Bistar Ko Bhuli Nahi Mein 9 Un Shaam Ki Galiyon Ko Jin Se Khule Sar Guzray Jis Dar Se Guzarne Mein Yeh Solah Pehar Guzray Darbar Ke Us Dar Ko Aur Shamiyon Ke Shar Ko Bhuli Nahi Mein 10 Hai Aaj Bhi Woh Girya Hai Aaj Bhi Woh Zari Hai Aaj Bhi Patthar Ke Seene Se Lahu Jari Rote Huay Patthar Ko Patthar Pe Rakhe Sar Ko Bhuli Nahi Mein 11 Aati Hai Naveed Ab Bhi Aawaz Yeh Zainab Ki Hai Mujh Ko Qasam Sadiyon Se Sookhe Huay Lab Ki Pyase Ali Asghar Ko Sookhe Huay Saaghar Ko Bhuli Nahi Mein