Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ہائے سجاد ہائے سجاد

Bazaar Aa Raha Hai

Add to set
Show

ہائے سجاد ہائے سجاد

ہائے سجاد ہائے سجاد ہائے ہائے بازار
بیمار مر نہ جائے بازار آ رہا ہے امت ہجاب میں ہے سیدانی بے ردا ہے
۱ سجاد کے بدن کا ہر زخم رو رہا ہے کوفے کی شاہزادی کوفے میں بے ردا ہے سادات فاطمہ پر کیا وقت آ گیا ہے
۲ زہرا کی بیٹیوں کے چھینے گئے ہے پردے اب چادروں کے بدلے کوئی کفن اڑھا دے عابد جنازے لے کر بازار میں کھڑا ہے
۳ ہاتھوں میں شام والے پتھر لیے ہوئے ہے اک جشن کا سماں ہے روشن دیے ہوئے ہیں دل بجھتے جا رہے ہیں یہ شام کی ہوا ہے
۴ برداشت اس ستم کو کوئی کرے گا کیسے بیٹے کے آگے کھائے اک باپ تازیانے باقر کا امتحاں تو سجاد سے بڑا ہے
۵ جاری لہو ہے سر سے کیا وقتِ بیکسی ہے نیزے پہ شہ کے سر کو حسرت سے دیکھتی ہے زینب کو راستے میں پتھر جہاں لگا ہے
۶ مقتل میں تیرا ضربیں شبیر پر چلی ہے نامحرموں کی نظریں زینب پہ پڑ رہی ہے چاروں طرف سے خنجر بی‌بی پہ چل رہا ہے
۷ یہ قافلہ حرم کا زنداں تک آ گیا ہے سورج کے بادلوں میں چھپ چھپ کے پوچھتا ہے بے جرم قیدیوں کو سایہ کہاں ملا ہے
۸ شبیر کی سکینہ بازار سے ہے گزری اتنے لگے ہے پتھر پہلو ہوا ہے زخمی پہچان نا ہے مشکل وہ حال ہو گیا ہے
۹ روئے ہیں خوں تکلم چالیس سال مولا سانسیں بھی چل رہی تھی لیکن نہیں تھے زندہ سجاد کا تو مقتل دربار شام کا ہے

Bazaar Aa Raha Hai

Haaye Sajjad haaye Sajjad Haaye haaye bazaar
Bimaar mar na jaaye bazaar aa raha hai Ummat hijaab meiṅ hai Sayyidaani berida hai
1 Sajjad ke badan ka har zakhm ro raha hai Kufe ki shaahzaadi Kufe meiṅ berida hai Saadaat-e-Fatema par kya waqt aa gaya hai
2 Zahra ki betiyoṅ ke chhine gaye hai parde Ab chaadroṅ ke badle koi kafan urha de Aabid janaaze le kar bazaar meiṅ khara hai
3 Haathoṅ meiṅ Shaam waale patthar liye hue hai Ek jashn ka samaaṅ hai roshan diye hue haiṅ Dil bujhte jaa rahe haiṅ ye Shaam ki hawa hai
4 Bardaasht is sitam ko koi karega kaise Bete ke aage khaaye ek baap taaziyaane Baqir ka imtihaaṅ to Sajjad se bara hai
5 Jaari lahu hai sar se kya waqt-e-bekasi hai Naize pe sheh ke sar ko hasrat se dekhti hai Zainab ko raaste meiṅ patthar jahaaṅ laga hai
6 Maqtal meiṅ tera zarbeiṅ Shabbir par chali hai Naamahramoṅ ki nazreiṅ Zainab pe par rahi hai Chaaroṅ taraf se khanjar Bibi pe chal raha hai
7 Ye qaafila haram ka zindaaṅ tak aa gaya hai Suraj ye baadloṅ meiṅ chhup chhup ke puchhta hai Bejurm qaidiyoṅ ko saaya kahaaṅ mila hai
8 Shabbir ki Sakina bazaar se hai guzri Itne lage hai patthar pehlu hua hai zakhmi Pehchaan na hai mushkil wo haal ho gaya hai
9 Roye haiṅ khuṅ Takallum chaalis saal Maula Saaṅseiṅ bhi chal rahi thi lekin nahiṅ the zinda Sajjad ka to maqtal darbaar-e-Shaam ka hai