سیدہ طاہرہ
Bazaar Mein Beparda
Show
سیدہ طاہرہ
سیدہ طاہرہ
وا ہجابہ وا غربتا
بازار میں بے پردہ نبی زادی کھڑی ہے
ہر موڑ پہ مرنے کی دعا مانگ رہی ہے
۱
ہے ہاتھوں میں پتھر ابھی آئی نہیں زینب
بازار میں پہلے سے ہی اک بھیڑ لگی ہے
۲
اس غم کی اذیت کوئی سجاد سے پوچھے
بچپن میں سکینہ کی کمر کیسے جھکی ہے
۳
بازار سے لگتا ہے گزرتے ہے جنازے
خاموش ہر ایک بیبی ہے مرنے کی کمی ہے
۴
ہے آخری منزل اسے دربار نہ سمجھو
مقتل کی طرف شاہ کی ہمشیر چلی ہے
۵
تسبیح کے دانوں کی طرح اک رسن میں
ہر عمر کی زہرا ہے جو پابند کھڑی ہے
۶
نام آتا ہے زینب کا شرابی کی زباں پر
سجاد کی غیرت پہ قیامت کی گھڑی ہے
۷
خوں رونے کو قیام کے یہ کافی ہے تکلم
زینب کی طرف دیکھ کے دنیا یہ ہنسی ہے
Bazaar Mein Beparda
Sayyida Taahira
Wa hijaba wa ghurbata
Bazaar meiṅ beparda Nabi zaadi khari hai
Har mor pe marne ki dua maang rahi hai
1
Hai haathoṅ meiṅ patthar abhi aayi nahiṅ Zainab
Bazaar meiṅ pehle se hi ek bhir lagi hai
2
Is gham ki aziyat koi Sajjad se puchhe
Bachpan meiṅ Sakina ki kamar kaise jhuki hai
3
Bazaar se lagta hai guzarte hai janaaze
Khaamosh har ek Bibi hai marne ki kami hai
4
Hai aakhri manzil ise darbaar na samjho
Maqtal ki taraf shaah ki hamshir chali hai
5
Tasbih ke daanoṅ ki tarah ek rasan meiṅ
Har umr ki Zahra hai jo paaband khari hai
6
Naam aata hai Zainab ka sharaabi ki zabaaṅ par
Sajjad ki ghairat pe qayaamat ki ghari hai
7
Khuṅ rone ko qaayam ke ye kaafi hai Takallum
Zainab ki taraf dekh ke duniya ye haṅsi hai