ہائے ہائے ہائے
Zehra Ki Betiyon
Show
ہائے ہائے ہائے
ہائے ہائے ہائے
زہرا کی بیٹیوں کا سفر ہائے ہائے ہائے
نیزے پہ ہے حسین کا سر ہائے ہائے ہائے
زہرا کی بیٹیوں کا سفر ہائے ہائے ہائے
۱
جس نے دیا ہجاب اسی گھر کی بیٹیاں
بازارِ شام آئی ہے کرتی ہوئی فغاں
کانٹوں پہ کر رہی ہے سفر ہائے ہائے ہائے
۲
میری کنیز دیکھ نہ لے مجھکو بے ردا
سجاد سے یہ زینبِ دلگیر نے کہا
آیا قریب شیریں کا گھر ہائے ہائے ہائے
۳
ایک حشر سا بپا ہے دلِ سوگوار میں
زینب کسے بلائے بھلا اس دیار میں
بابا ہے نہ بھائی نہ پسر ہائے ہائے ہائے
۴
برسات پتھروں کی ہے آلِ رسول پر
ہنستے ہیں شام والے اسیروں کو دیکھ کر
کرتی ہے شاہزادی اگر ہائے ہائے ہائے
۵
کتنے سکوں سے ہم نے کیا طے یہ راستہ
زینب نے تیس گھنٹوں میں طے یہ سفر کیا
بے پردہ تھامے قلب و جگر ہائے ہائے ہائے
۶
اے وقت کے امام یہ پرسہ کرے قبول
ہے مادرِ حسین یہاں آپ اور رسول
کرتے ہیں سارے جن و بشر ہائے ہائے ہائے
۷
ہمراہ شادماں کے پہنچا جو قافلہ
بازارِ شام دیکھ کے یاد آیا با خدا
اے مظہر عابدی وہ سفر ہائے ہائے ہائے
Zehra Ki Betiyon
Haaye haaye haaye
Zahra ki betiyoṅ ka safar haaye haaye haaye
Naize pe hai Husain ka sar haaye haaye haaye
Zahra ki betiyoṅ ka safar haaye haaye haaye
1
Jis ne diya hijaab usi ghar ki betiyaaṅ
Baazaar-e-Shaam aayi hai karti hui fughaaṅ
Kaaṅtoṅ pe kar rahi hai safar haaye haaye haaye
2
Meri kaniz dekh na le mujhko berida
Sajjaad se ye Zainab-e-Dilgir ne kaha
Aaya qarib Shiriṅ ka ghar haaye haaye haaye
3
Ek hashr sa bapa hai dil-e-sogvaar meiṅ
Zainab kise bulaaye bhala is dayaar meiṅ
Baaba hai na bhaai na pisar haaye haaye haaye
4
Barsaat pattharoṅ ki hai Aal-e-Rasul par
Haṅste haiṅ Shaam waale asiroṅ ko dekh kar
Karti hai shaahzaadi agar haaye haaye haaye
5
Kitne sukuṅ se hum ne kiya tai ye raasta
Zainab ne tis ghantoṅ meiṅ tai ye safar kiya
Beparda thaame qalb o jigar haaye haaye haaye
6
Ae waqt ke Imaam ye pursa kare qubul
Hai Maadar-e-Husain yahaaṅ aap aur Rasul
Karte haiṅ saare jinn o bashar haaye haaye haaye
7
Hamraah Shadmaaṅ ke pahuṅcha jo qaafila
Baazaar-e-Shaam dekh ke yaad aaya baKhuda
Ae Mazhar Aabidi wo safar haaye haaye haaye