Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

خیمے جلا دیے گئے جائیں گی اب کہاں

Zehra Ki Betiyan

Add to set
Show

خیمے جلا دیے گئے جائیں گی اب کہاں

خیمے جلا دیے گئے جائیں گی اب کہاں زہرا کی بیٹیاں بیٹھی ہوئی ہے خاک پہ مقتل میں بے اماں زہرا کی بیٹیاں
۱ جائے کدھر نہ پاس میں بستی نہ کوئی گھر سر سے ردائیں لے گئے کفار چھین کر غازی کو یاد کرتے ہے لے لے کے ہچکیاں زہرا کی بیٹیاں
۲ سادات کے خیام سے اٹھتا ہوا دھواں وہ آگ میں گھرے ہوئے بچوں کی سسکیاں بھولیں گی کیسے شامِ غریباں کا یہ سماں زہرا کی بیٹیاں
۳ کوئی نہیں جو اجرِ رسالت ادا کرے پانی نہ دے ردائیں تو دے دے کوئی اسے لے کر چلا ہے دشت سے بیمار ناتواں زہرا کی بیٹیاں
۴ مشکل ہے جینا سیدِ سجاد کے لئے کون آئے گا غریب کی امداد کے لئے بے پردہ ہے کھڑی ہوئی لوگوں کے درمیاں زہرا کی بیٹیاں
۵ عاشور کی وہ صبح نگاہوں میں پھر گئی روتے ہوئے اذان سنی جب جہاں سنی اکبر کے بعد کھاتی رہی غم کی برچھیاں زہرا کی بیٹیاں
۶ خوں رو رہا نیزے پہ ابنِ علی کا سر لوگوں کا اک ہجوم ہے کانٹوں پہ ہے سفر درے بھی کھائے راہ میں اک پل رکی جہاں زہرا کی بیٹیاں
۷ سیدانیوں کے سر ہے تکلم جھکے ہوئے ہائے کھڑی ہے مادرِ عباس سامنے کیسے چھپائے بازو پہ رسی کے یہ نشاں زہرا کی بیٹیاں

Zehra Ki Betiyan

Khaime jala diye gaye jaayeṅ gi ab kahaaṅ Zehra ki betiyaaṅ Baithi hui hai khaak pe maqtal meiṅ beamaaṅ Zehra ki betiyaaṅ
1 Jaaye kidhar na paas meiṅ basti na koi ghar Sar se ridaaeṅ le gaye kuffaar chhin kar Ghaazi ko yaad karte hai le le ke hichkiyaaṅ Zehra ki betiyaaṅ
2 Saadaat ke khayaam se uthta hua dhuaaṅ Wo aag meiṅ ghire hue bachchoṅ ki siskiyaaṅ Bhuleṅ gi kaise Shaam-e-Gharibaaṅ ka ye samaaṅ Zehra ki betiyaaṅ
3 Koi nahiṅ jo ajr-e-risaalat ada kare Paani na de ridaaeṅ to de de koi use Le kar chala hai dasht se bimaar naatavaaṅ Zehra ki betiyaaṅ
4 Mushkil hai jina Sayyid-e-Sajjaad ke liye Kaun aayega gharib ki imdaad ke liye Beparda hai khari hui logoṅ ke darmiyaaṅ Zehra ki betiyaaṅ
5 Aashur ki wo subh nigaahoṅ meiṅ phir gayi Rote hue azaan suni jab jahaaṅ suni Akbar ke baad khaati rahi gham ki barchhiyaaṅ Zehra ki betiyaaṅ
6 Khuṅ ro raha naize pe Ibn-e-Ali ka sar Logoṅ ka ik hujum hai kaaṅtoṅ pe hai safar Durre bhi khaaye raah meiṅ ik pal ruki jahaaṅ Zehra ki betiyaaṅ
7 Sayyidaaniyoṅ ke sar hai Takallum jhuke hue Haaye khari hai Maadar-e-Abbaas saamne Kaise chhupaaye baazu pe rassi ke ye nishaaṅ Zehra ki betiyaaṅ