Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

یوں رو رہے ہیں دیکھ کے زینب کو مرتظی

Yuṅ Ro Rahe Hai

Add to set
Show

یوں رو رہے ہیں دیکھ کے زینب کو مرتظی

یوں رو رہے ہیں دیکھ کے زینب کو مرتظی شاید خیال آیا ہو بازارِ شام کا
۱ زینب کے تھے یہ بین مدینے چلو حسین کوفہ ہمارے رہنے کے قابل نہیں رہا
۲ سجاد بین کرتے ہیں دادا ہیں خوش نصیب بیٹوں نے مل کے باپ کو غسل و کفن دیا
۳ پہلا یہ امتحان ہے غازی کے صبر کا عباس چپ ہے سامنے قاتل ہے باپ کا
۴ زینب نہ رو ابھی مجھے آ جائے گا سکوں رومال لا کے باندھ دو سر پر بتول کا
۵ اک بی‌بی چل رہی ہے جنازے کے ساتھ ساتھ لگتا ہے قبر چھوڑ کے آئی ہے فاطمہ
۶ مولا کیوں خاک آپ نے ڈالی ہے زخم پہ کیا یاد آ گئی ہے مصلے پہ کربلا
۷ دربارِ شام جاؤں گا زینب میں تیرے ساتھ اکبر یہ کہہ کے ہو گئے خاموش مرتظی

Yuṅ Ro Rahe Hai

Yuṅ ro rahe haiṅ dekh ke Zainab ko Murtaza Shaayad khayaal aaya ho baazaar-e-Shaam ka
1 Zainab ke the ye bain Madine chalo Husain Kufa hamaare rehne ke qaabil nahiṅ raha
2 Sajjad bain karte haiṅ daada haiṅ khush nasib Betoṅ ne mil ke baap ko ghusl o kafan diya
3 Pehla ye imtehaan hai Ghaazi ke sabr ka Abbas chup hai saamne qaatil hai baap ka
4 Zainab na ro abhi mujhe aa jaayega sukuṅ Rumaal laa ke baandh do sar par Batul ka
5 Ik Bibi chal rahi hai janaaze ke saath saath Lagta hai qabr chhor ke aayi hai Fatima
6 Maula kiuṅ khaak aap ne daali hai zakhm pe Kya yaad aa gayi hai musalle pe Karbala
7 Darbaar-e-Shaam jaauṅ ga Zainab maiṅ tere saath Akbar ye keh ke ho gaye khaamosh Murtaza