Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

کربل سے شام قیدی امام

Yun Karbala Se

Add to set
Show

کربل سے شام قیدی امام

کربل سے شام قیدی امام
یوں کربل سے عابد بیمار چلے ہیں اک ظلم کی زنجیر میں بہنوں کے گلے ہیں
۱ مقتل میں چار سوں اب اک ہو کا ہے عالم نہ غازی علمدار نہ اکبر ہے نہ قاسم نوکِ سِناں پہ اب سبھی نازوں کے پالے ہیں اک ظلم کی زنجیر میں بہنوں کے گلے ہیں
۲ فل قربا کی آیت کی یہ تفسیر ہے لوگوں نوکِ سِناں پہ چادرِ تطہیر ہے لوگوں لاشے پڑے ہیں ہر طرف اور خیمے جلے ہیں اک ظلم کی زنجیر میں بہنوں کے گلے ہیں
۳ زہرا کی لاڈلی پہ یہ کیا وقت ہے آیا نہ سر پہ ردا اور نہ بابل کا ہے سایہ آلِ عبا پہ اس طرح ہائے وقت ڈھلے ہے اک ظلم کی زنجیر میں بہنوں کے گلے ہیں
۴ نوحہ کناں زمیں ہے خوں رویا آسماں پابندِ سلاسل ہے چلے میرِ کارواں خوں رو رہے ہیں خار جو پاؤں کے تلے ہے اک ظلم کی زنجیر میں بہنوں کے گلے ہیں
۵ پنجتن کے در سے تجھ کو ہوا قلم عطا ہے خورشید تجھ کو ثانیِ زہرا کی دعا ہے تیرے سخن کے پھول یہ ابھی پھولے پھلے ہیں اک ظلم کی زنجیر میں بہنوں کے گلے ہیں

Yun Karbala Se

Karbal se Shaam qaidi Imam
Yuṅ Karbala se Aabid-e-bimaar chale haiṅ Ik zulm ki zanjir meiṅ behnoṅ ke gale haiṅ
1 Maqtal meiṅ chaar suṅ ab ik hu ka hai aalam Na Ghaazi alamdaar na Akbar hai na Qaasim Nok-e-sinaaṅ pe ab sabhi naazoṅ ke paale haiṅ Ik zulm ki zanjir meiṅ behnoṅ ke gale haiṅ
2 Fil qurba ki aayat ki ye tafsir hai logoṅ Nok-e-sinaaṅ pe chaadar-e-tathir hai logoṅ Laashe pare haiṅ har taraf aur khaime jale haiṅ Ik zulm ki zanjir meiṅ behnoṅ ke gale haiṅ
3 Zehra ki laadli pe ye kya waqt hai aaya Na sar pe rida aur na baabul ka hai saaya Aal-e-abaa pe is tarah haaye waqt dhale hai Ik zulm ki zanjir meiṅ behnoṅ ke gale haiṅ
4 Nauha kunaaṅ zamiṅ hai khuṅ roya aasmaaṅ Paaband-e-salaasil hai chale Mir-e-kaarwaaṅ Khuṅ ro rahe haiṅ khaar jo paaoṅ ke tale hai Ik zulm ki zanjir meiṅ behnoṅ ke gale haiṅ
5 Panjetan ke dar se tujh ko hua qalam ataa hai Khurshid tujh ko Saani-e-Zehra ki dua hai Tere sukhan ke phul ye abhi phule phale haiṅ Ik zulm ki zanjir meiṅ behnoṅ ke gale haiṅ