Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ایک حشر کا ہے منظر یہ کس کا جنازہ ہے

Ye Kiska Janaza

Add to set
Show

ایک حشر کا ہے منظر یہ کس کا جنازہ ہے

ایک حشر کا ہے منظر یہ کس کا جنازہ ہے سادات ہے نوحہ گر یہ کس کا جنازہ ہے
۱ رخ پیٹتے ہیں رو کر جبریل امیں اپنا یہ کس کے جنازے پر پڑھتے ہیں نبی نوحہ زہرا بھی ہے ننگے سر یہ کس کا جنازہ ہے
۲ مستور ہو یا بچے روتے ہیں بلکتے ہیں زینب کی فغاں سن کر کونین لرزتے ہیں روتے ہیں لہو سرور یہ کس کا جنازہ ہے
۳ عباس کی حالت کا کس طرح بیاں ہوگا کلثوم کا دل اب تو قابو میں نہیں آتا سر پیٹتے ہیں شبر یہ کس کا جنازہ ہے
۴ اے کل کے مسیحا یوں چھوڑے نہ ہمیں تنہا مرغابیاں پڑھتی ہیں رو رو کے یہی نوحہ پر درد ہے یہ منظر یہ کس کا جنازہ ہے
۵ کہرام ہے کوفے میں بیواؤں کے نالے ہیں ہونٹوں پہ یتیموں کے فریادوں کے چھالے ہیں ہے سوگ بپا گھر گھر یہ کس کا جنازہ ہے
۶ یہ وقتِ قیامت ہے گہنائے ہیں سب تارے خورشید فلک اپنی تنویر سمیٹے ہیں اور شک ہے مہہ انور یہ کس کا جنازہ ہے
۷ قرآن تڑپتا ہے تفسیر تڑپتی ہے تنزیل ہے نوحہ گر تحریر تڑپتی ہے جبریل بتا آ کر یہ کس کا جنازہ ہے
۸ کرتی ہے اذاں گریہ روتا ہے مصلیٰ بھی محراب ا تلاطم میں مجروح ہے سجدہ بھی برساتا ہے خون منبر یہ کس کا جنازہ ہے
۹ اے دایم و یزداں اک محشر ہے سر کوفہ ہر آنکھ میں ہیں آنسوں ہر لب پہ ہے یہ نوحہ بے چین ہیں پیغمبر یہ کس کا جنازہ ہے

Ye Kiska Janaza

Ek hashr ka hai manzar ye kis ka janaaza hai Saadaat hai nauha gar ye kis ka janaaza hai
1 Rukh pitte haiṅ ro kar Jibril-e-amiṅ apna Ye kis ke janaaze par parhte haiṅ Nabi nauha Zehra bhi hai nange sar ye kis ka janaaza hai
2 Mastur ho ya bachche rote haiṅ bilakte haiṅ Zainab ki fughaaṅ sun kar kaunain larazte haiṅ Rote haiṅ lahu Sarwar ye kis ka janaaza hai
3 Abbas ki haalat ka kis tarah bayaaṅ hoga Kulsum ka dil ab to qaabu meiṅ nahiṅ aata Sar pitte haiṅ Shabbar ye kis ka janaaza hai
4 Ae kul ke masiha yuṅ chhore na hameṅ tanha Murghaabiyaaṅ parhti haiṅ ro ro ke yahi nauha Pur dard hai ye manzar ye kis ka janaaza hai
5 Kohraam hai Kufe meiṅ bewaaoṅ ke naale haiṅ Hoṅtoṅ pe yatimoṅ ke faryaadoṅ ke chhaale haiṅ Hai sog bapa ghar ghar ye kis ka janaaza hai
6 Ye waqt-e-qayaamat hai gahnaaye haiṅ sab taare Khurshid-e-falak apni tanvir samete haiṅ Aur shak hai mah-e-anwar ye kis ka janaaza hai
7 Quraan tarapta hai tafsir tarapti hai Tanzil hai nauha gar tahrir tarapti hai Jibril bata aa kar ye kis ka janaaza hai
8 Karti hai azaaṅ girya rota hai musalla bhi Mihraab-e-talaatum meiṅ majruh hai sajda bhi Barsaata hai khun mimbar ye kis ka janaaza hai
9 Ae Daayam o Yazdaaṅ ek mahshar hai sar-e-Kufa Har aaṅkh meiṅ haiṅ aaṅsu har lab pe hai ye nauha Bechain haiṅ Paighambar ye kis ka janaaza hai