یہ کس شہید کی میت حسین لاتے ہیں
Ye Kis Shahid Ki
Show
یہ کس شہید کی میت حسین لاتے ہیں
یہ کس شہید کی میت حسین لاتے ہیں
زمیں لرزتی ہے افلاک تھر تھراتے ہیں
۱
پڑی ہے بکھری ہوئی تن پہ سہرے کی لڑیاں
یہ پھول زخموں کے تن پہ سجائے آتے ہیں
۲
کھڑی ہے در پہ جو ماں پیٹتی ہوئی سر کو
دکھائے لاشے کو کیسے یہ سوچے جاتے ہیں
۳
لپٹ کے لاتے ہیں چادر کے گوشے میں رکھ کر
سروں پہ خاک براتی سبھی اڑاتے ہیں
۴
دلہن نہ آئے کہیں شورِ گریہ کو سن کر
جو بار بار عبا میں اسے چھپاتے ہیں
۵
یہ کیسی لاش ہے باندھی ہوئی ہے گھٹڑی میں
بتا رہے ہیں کسی کو کبھی چھپاتے ہیں
۶
اٹھا کے لاتے ہیں شبیر لاش دولہا کی
لرز رہا ہے بدن پاؤں تھر تھراتے ہیں
۷
کھڑے ہیں خیمے کے در پر جو آ کے اہلِ حرم
بارات دیکھ کے دولہا کی روتے جاتے ہیں
۸
مچا ہے خیموں میں کہرام ہائے قاسم کا
حسین لاش سے چادر کو اب بہاتے ہیں
۹
لے آئی لاش پہ بازو کو تھام کر مادر
دلہن کو دولہا کا دیدار اب کراتے ہیں
۱۰
سجائے تھے ابھی صندل سے مانگ ہائے غضب
اسی کو بیوہ کا اب پیرہن پہناتے ہیں
۱۱
سروں پہ خاک اڑاؤ مجاب پیٹو سر
یہ ایسا غم ہے کہ اس غم میں خوں بہاتے ہیں
Ye Kis Shahid Ki
Ye kis shahid ki mayyat Husain laate haiṅ
Zamiṅ larazti hai aflaak thar tharaate haiṅ
1
Pari hai bikhri hui tan pe sehre ki lariyaaṅ
Ye phul zakhmoṅ ke tan pe sajaae aate haiṅ
2
Khari hai dar pe jo maaṅ pitti hui sar ko
Dikhaae laashe ko kaise ye soche jaate haiṅ
3
Lipat ke laate haiṅ chaadar ke goshe meiṅ rakh kar
Saroṅ pe khaak baraati sabhi uraate haiṅ
4
Dulhan na aae kahiṅ shor-e-girya ko sun kar
Jo baar baar aba meiṅ ise chhupaate haiṅ
5
Ye kaisi laash hai baandhi hui hai gathri meiṅ
Bata rahe haiṅ kisi ko kabhi chhupaate haiṅ
6
Utha ke laate haiṅ Shabbir laash dulha ki
Laraz raha hai badan paaoṅ thar tharaate haiṅ
7
Khare haiṅ khaime ke dar par jo aa ke ahl-e-haram
Baraat dekh ke dulha ki rote jaate haiṅ
8
Macha hai khaimoṅ meiṅ kohraam haae Qasim ka
Husain laash se chaadar ko ab hataate haiṅ
9
Le aai laash pe baazu ko thaam kar maadar
Dulhan ko dulha ka didaar ab karaate haiṅ
10
Sajaae the abhi sandal se maaṅg haae ghazab
Usi ko bewa ka ab pairahan pinhaate haiṅ
11
Saroṅ pe khaak uraao Mujaab pito sar
Ye aisa gham hai ke is gham meiṅ khuṅ bahaate haiṅ