Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

وہ مولا رضا ہے

Wo Maula Raza Hai

Add to set
Show

وہ مولا رضا ہے

وہ جس کی رضا خالقِ اکبر کی رضا ہے جنت کی سند جس کی زیارت کا صلہ ہے
۱ وہ عالمِ امکاں میں ناظر کی نظر ہے اس کو میرے عمل کی نیت کی خبر ہے ہونے سے بھی پہلے جسے ہونے کا پتا ہے
۲ دل موسیٰ کاظم سے یہ کہتا ہے ادب سے ہے پیار مجھے آپ کی اولاد میں سب سے لیکن تیری اولاد میں جو مولا رضا ہے
۳ شبر بھی ہے شبیر بھی سجاد بھی پیہم باقر یہی جعفر یہی یہ موسیٰ کاظم جو ساتواں زہرا کو پسر حق سے ملا ہے
۴ لایا وہ ولایت کی فضا طوس میں ہمراہ جب گونجا فضاؤں میں علیٌ ولی اللہ ان عجمی زبانوں کو علی جس کی عطا ہے
۵ وہ آیا مدد کے لیے جب بھی ہے پکارا سلطانِ خراسان ہے بس غوث ہمارا جو اب بھی مغیثِ صفِ اربابِ عزا ہے
۶ کونین میں سب نعمتیں کرتا ہے یہ تقسیم اور لوح کے لکھے میں بھی کر سکتا ہے ترمیم جو کارِ خدا کرتے ہوئے عبدِ خدا ہے
۷ دوزخ کسے اور دینا ہے دادا کا کسے عشق اولاد کسے ملنی ہے ملنا ہے کسے رزق تقدیر کی تختی پہ یہ سب جس نے لکھا ہے
۸ بی‌بی نے کہا مانگ لے تحفہ کوئی ہم سے میں نے کہا بی‌بی مجھے خالق سے ملا دے جو تحفہ مجھے قم کی کریمہ نے دیا ہے
۹ ہے تجھ سے دعا بس یہ میری قادر و رحمان مولا کے محبوں کی ہوں سب مشکلیں آسان وہ جس کے تصدق یہ میرا حرفِ دعا ہے
۱۰ کیا میر حسن ہے تیری اوقات و حقیقت دے کر تیری نسلوں میں یہ مدحت یہ تلاوت وہ جس نے تجھے لائقِ تعظیم کیا ہے

Wo Maula Raza Hai

Woh jis ki Riza Khaaliq-e-Akbar ki Riza hai Jannat ki sanad jis ki ziyaarat ka sila hai
1 Woh aalam-e-imkaaṅ meiṅ naazir ki nazar hai Us ko mere amal ki niyat ki khabar hai Hone se bhi pehle jise hone ka pata hai
2 Dil Musa-e-Kaazim se yeh kehta hai adab se Hai pyaar mujhe aap ki aulaad meiṅ sab se Lekin teri aulaad meiṅ jo Maula Raza hai
3 Shabbar bhi hai Shabbir bhi Sajjad bhi paiham Baaqir yehi Jaafar yehi yeh Musa-e-Kaazim Jo saatvaaṅ Zahra ko pisar Haq se mila hai
4 Laaya woh wilaayat ki fiza Tus meiṅ hamraah Jab gunja fizaaoṅ meiṅ Ali un Wali Allah In ajami zabaanoṅ ko Ali jis ki ata hai
5 Woh aaya madad ke liye jab bhi hai pukaara Sultaan-e-Khuraasaan hai bas Ghaus hamaara Jo ab bhi Mughis-e-saf-e-arbaab-e-aza hai
6 Kaunain meiṅ sab neamateṅ karta hai yeh taqsim Aur lauh ke likhe meiṅ bhi kar sakta hai tarmim Jo kaar-e-Khuda karte hue abd-e-Khuda hai
7 Dozakh kise aur dena hai daada ka kise ishq Aulaad kise milni hai milna hai kise rizq Taqdir ki takhti pe yeh sab jis ne likha hai
8 Bibi ne kaha maang le tohfa koi hum se Maiṅ ne kaha Bibi mujhe Khaaliq se mila de Jo tohfa mujhe Qum ki Karima ne diya hai
9 Hai tujh se dua bas yeh meri Qaadir o Rehmaan Maula ke muhibboṅ ki hoṅ sab mushkileṅ aasaan Woh jis ke tasadduq yeh mera harf-e-dua hai
10 Kya Mir Hasan hai teri auqaat o haqiqat De kar teri nasloṅ meiṅ yeh midhat yeh tilaawat Woh jis ne tujhe laaiq-e-taazim kiya hai