ولادت کی خوشیاں منانے کے دن ہیں
Wilaadat Ki Khushiyaaṅ Manaane Ke Din Haiṅ
Show
ولادت کی خوشیاں منانے کے دن ہیں
ولادت کی خوشیاں منانے کے دن ہیں
یہی تو مقدر بنانے کے دن ہیں
۱
بجز ماہِ شعبان ہے ہر ماہ پُرنم
یہی اپنے ہنسنے ہنسانے کے دن ہیں
۲
چلو چل کے بیٹھیں قلندر کے در پر
یہ مستوں کے دھومی دھمانے کے دن ہیں
۳
رجب ہو کہ شعبان و رمضان و ذی الحَج
ملنگوں کے کھانے کمانے کے دن ہیں
۴
بلا لائے کوئی فرزدق کو جا کر
یہی اپنے سننے سنانے کے دن ہیں
۵
ظہور اُن کا ہوگا تو خوشیاں ملیں گی
ابھی اپنے رونے رلانے کے دن ہیں
۶
بس اب کٹنے والی ہیں فرقت کی راتیں
امامِ زمانہ کے آنے کے دن ہیں
Wilaadat Ki Khushiyaaṅ Manaane Ke Din Haiṅ
Wilaadat ki khushiyaaṅ manaane ke din haiṅ
Yehi to muqaddar banaane ke din haiṅ
1
Bajuz maah-e-Shaabaan hai har maah purnam
Yehi apne hansne hansaane ke din haiṅ
2
Chalo chal ke baitheṅ Qalandar ke dar par
Ye mastoṅ ke dhomi dhamaane ke din haiṅ
3
Rajab ho ke Shaabaan o Ramzaan o Zilhajj
Malangoṅ ke khaane kamaane ke din haiṅ
4
Bulaa laaye koi Farazdaq ko jaa kar
Yehi apne sunne sunaane ke din haiṅ
5
Zuhur un ka hoga to khushiyaaṅ mileṅgi
Abhi apne rone rulaane ke din haiṅ
6
Bas ab katne waali haiṅ furqat ki raateṅ
Imaam-e-Zamaana ke aane ke din haiṅ