علی کے گھر میں برپا ہے قیامت عید سے پہلے
Qayamat Eid Se Pehle
Show
علی کے گھر میں برپا ہے قیامت عید سے پہلے
علی کے گھر میں برپا ہے قیامت عید سے پہلے
ہوئی زینب کے بابا کی شہادت عید سے پہلے
۱
علی کے گھر سے لے کر عرش تک بس غم کا موسم ہے
سبب سے اس کے رمضان بھی ماہ محرم ہے
لگی ہے جو سر حیدر پہ ضربت عید سے پہلے
۲
جنازہ اٹھ رہا ہے شاہ خیبر گیر کا لوگوں
نہ پوچھو حال کیا ہے زینب دلگیر کا لوگوں
خوشی حسنین کی ہوتی ہے غیرت عید سے پہلے
۳
کہا اصحاب نے سر پیٹ کر حسرت رہی باقی
امامت میں علی کی پھر نماز عید پڑھنے کی
قضا نے چھین لی یہ بھی سعادت عید سے پہلے
۴
در زہرا جلا کر بھی حسد کی آگ باقی ہے
ہمیں کیا تھی خبر نانا صدا زینب کی آتی ہے
دوبارہ خم کا بدلہ لے گی امت عید سے پہلے
۵
علی کے واسطے تو عید مسجد میں شہادت تھی
ملاقات خدا کی اس قدر حیدر کو تھی جلدی
جگا کر خود دیا قاتل کو شربت عید سے پہلے
۶
صف ماتم بچھا دو سوگواروں آج گھر گھر میں
بہا دو اپنی آنکھوں کے یہ دریا یاد حیدر میں
ملے گی تم کو ان اشکوں کی قیمت عید سے پہلے
۷
علی کو حالت روزہ میں مارا کلمہ گویوں نے
لحد میں بھی محمد کو ستایا کلمہ گویوں نے
رلایا سیدہ کو زیر تربت عید سے پہلے
۸
دعا مانگو کہ راہ ہجر مہدی جلد کھل جائے
کہ راز انتقام کربلا درویش کھل جائے
ملے زیشان کو بھی یہ بشارت عید سے پہلے
Qayamat Eid Se Pehle
Ali ke ghar meiṅ barpa hai qayamat Eid se pehle
Hui Zainab ke baba ki shahadat Eid se pehle
1
Ali ke ghar se lekar arsh tak bas gham ka mausam hai
Sabab se is ke ab Ramzan bhi maah-e-Muharram hai
Lagi hai jo sar-e-Haider pe zarbat Eid se pehle
2
Janaaza uth raha hai shaah-e-Khaibar gir ka logoṅ
Na puchho haal kya hai Zainab-e-dilgir ka logoṅ
Khushi Hasnain ki hoti hai ghaarat Eid se pehle
3
Kaha ashaab ne sar pit kar hasrat rahi baaqi
Imamat meiṅ Ali ki phir namaz-e-Eid parhne ki
Qaza ne chhin li ye bhi saadat Eid se pehle
4
Dar-e-Zahra jala kar bhi hasad ki aag baaqi hai
Hameiṅ kya thi khabar nana sada Zainab ki aati hai
Dobara Khum ka badla legi ummat Eid se pehle
5
Ali ke waaste to Eid masjid meiṅ shahadat thi
Mulaqaat-e-Khuda ki is qadar Haider ko thi jaldi
Jaga kar khud diya qaatil ko sharbat Eid se pehle
6
Saf-e-maatam bichha do sogwaaroṅ aaj ghar ghar meiṅ
Baha do apni aankhoṅ ke ye darya yaad-e-Haider meiṅ
Milegi tum ko in ashkoṅ ki qimat Eid se pehle
7
Ali ko haalat-e-roza meiṅ maara kalma goyoṅ ne
Lahad meiṅ bhi Muhammad ko sataaya kalma goyoṅ ne
Rulaaya Sayyeda ko zer-e-turbat Eid se pehle
8
Dua maango ke raah-e-hijr-e-Mehdi jald khul jaaye
Ke raaz-e-inteqaam-e-Karbala Darvesh khul jaaye
Mile Zishan ko bhi ye basharat Eid se pehle