Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

کیا قیامت سے یہ کم ہے

Qayamat Aur Kya

Add to set
Show

کیا قیامت سے یہ کم ہے

واویلا صد واویلا کیا قیامت سے یہ کم ہے ہوئی محتاج چادر کی علی کی لاڈلی بیٹی قیامت اور کیا ہو گی
۱ ہیں کلمہ گو تماشائی جھُکی گردن ہے عابد کی قیامت اور کیا ہو گی
۲ جہاں سے فاصلہ دربار کا تھا چند قدموں کا کئی گھنٹوں میں گزری ہے وہاں سے میری شہزادی قیامت اور کیا ہو گی
۳ سرِ بازار شامی اپنے بچوں سے یہ کہتے تھے ستاؤ اس کو سب مل کر بھتیجی ہے یہ غازی کی قیامت اور کیا ہو گی
۴ سکینہ سیدِ سجاد اور زہرا وہ ہستی ہیں کہ جن پر وقت سے پہلے ضعیفی ہو گئی طاری قیامت اور کیا ہو گی
۵ نہ جانے کس طرح بدلے لیے ہیں شام والوں نے علی اصغر کے جیسی ہے لحد عباسِ غازی کی قیامت اور کیا ہو گی
۶ نہ اُٹھ سکتا تھا اور نہ بیٹھ سکتا تھا میرا کاظم رکوع میں چودہ برسوں تک رہا بغداد کا قیدی قیامت اور کیا ہو گی
۷ امامِ وقت ہو کر ہائے وہ مظلوم ہے مہدی لحد مسمار مادر کی ہے اس بیٹے نے خود دیکھی قیامت اور کیا ہو گی
۸ کٹے بازو لیے عباس کے آئیں گی خود زہرا میرے مظلوم کی مجلس تکلم حشر میں ہو گی قیامت اور کیا ہو گی

Qayamat Aur Kya

Wa waila sad wa waila Kya qayaamat se ye kam hai Hui mohtaaj chaadar ki Ali ki laadli beti Qayaamat aur kya ho gi
1 Haiṅ kalma go tamaashaai Jhuki gardan hai Abid ki Qayaamat aur kya ho gi
2 Jahaaṅ se faasla darbaar ka tha chand qadmoṅ ka Kayi ghantoṅ meiṅ guzri hai Wahaaṅ se meri shehzaadi Qayaamat aur kya ho gi
3 Sar-e-baazaar Shaami apne bachchoṅ se ye kehte the Sataao is ko sab mil kar Bhatiji hai ye Ghaazi ki Qayaamat aur kya ho gi
4 Sakina Sayyid-e-Sajjaad aur Zahra wo hasti haiṅ Ke jin par waqt se pehle Zaifi ho gayi taari Qayaamat aur kya ho gi
5 Na jaane kis tarah badle liye haiṅ Shaam waaloṅ ne Ali Asghar ke jaisi hai Lahad Abbas-e-Ghaazi ki Qayaamat aur kya ho gi
6 Na uth sakta tha aur na baith sakta tha mera Kaazim Ruku meiṅ chaudah barsoṅ tak Raha Baghdad ka qaidi Qayaamat aur kya ho gi
7 Imaam-e-waqt ho kar haaye wo mazlum hai Mehdi Lahad mismaar maadar ki Hai is bete ne khud dekhi Qayaamat aur kya ho gi
8 Kate baazu liye Abbas ke aayeṅ gi khud Zahra Mere mazlum ki majlis Takallum hashr meiṅ ho gi Qayaamat aur kya ho gi