Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

قاتل تقی کے خوں کا طلبگار ہوگیا

Qaatil Taqi Ke Khuṅ

Add to set
Show

قاتل تقی کے خوں کا طلبگار ہوگیا

قاتل تقی کے خوں کا طلبگار ہوگیا گھر سیدہ کا پھر سے عزادار ہوگیا
۱ بدلا ہے کیسا وقت وطن چھوڑنا پڑا یثرب میں سانس لینا بھی دشوار ہوگیا
۲ کل تک غمِ رضا سے جگر تار تار تھا اور آج دل تقی کا عزادار ہوگیا
۳ پردیس میں خود اپنی ہی غربت کو دیکھ کر تازہ غمِ حسین پھر ایک بار ہوگیا
۴ پھر سے ہوا ہے تخت نشیں کوئی بد نسب پھر قتل کوئی صاحب کردار ہوگیا
۵ ملعون مہتسم کے ارادے نہ چھپ سکے آل نبی سے بغض کا اظہار ہوگیا
۶ روضہ غریب طوس کا غم سے لرز گیا ابنِ رضا پہ ظلم کا جب وار ہوگیا
۷ جب زہر سے تقی کے بدن میں ہوا اثر تربت میں مجتبیٰ کا دل افگار ہوگیا
۸ بیت علی میں گونجی صدا وا محمدا سن کر جسے خود عرش بھی غم خوار ہوگیا
۹ آنکھوں سے خون بہنے لگا کاظمین میں جس دم جواد امام کا زوار ہوگیا

Qaatil Taqi Ke Khuṅ

Qaatil Taqi ke khuṅ ka talabgaar ho gaya Ghar Sayyeda ka phir se azaadaar ho gaya
1 Badla hai kaisa waqt watan chhorna para Yasrab meiṅ saans lena bhi dushwaar ho gaya
2 Kal tak gham-e-Raza se jigar taar taar tha Aur aaj dil Taqi ka azaadaar ho gaya
3 Pardes meiṅ khud apni hi ghurbat ko dekh kar Taaza gham-e-Husain phir ek baar ho gaya
4 Phir se hua hai takht nashiṅ koi badnasab Phir qatl koi saahib-e-kirdaar ho gaya
5 Malun Mohtasim ke iraade na chhup sake Aal-e-Nabi se bughz ka izhaar ho gaya
6 Rauza gharib Tus ka gham se laraz gaya Ibn-e-Raza pe zulm ka jab waar ho gaya
7 Jab zehr se Taqi ke badan meiṅ hua asar Turbat meiṅ Mujtaba ka dil afgaar ho gaya
8 Bait-e-Ali meiṅ gunji sada wa Mohammada Sun kar jise khud arsh bhi ghamkhwaar ho gaya
9 Aankhoṅ se khun behne laga Kaazimain meiṅ Jis dam Jawad Imam ka zawwaar ho gaya