آ رہا ہے کربلا سے
Qaafla Saadaat Ka
Show
آ رہا ہے کربلا سے
آ رہا ہے کربلا سے
قافلہ سادات کا
کل تلک سالار اس کا تھا علمدار جری
آج ہے سالار اس کا بیڑیوں والا علی
ہاے سجاد ہاے سجاد
۱
جب مدینے سے چلا تھا قافلہ سادات کا
مثل حیدر پاسباں عباس تھا سادات کا
کیسی غربت ایک دن میں بیبیوں پر چھا گئی
ایک عابد ناتواں ہے آسرا سادات کا
۲
کل تلک عباس کی تھی ہر قدم پر یہ صدا
اے پرندوں منہ چھپا لو ہے سفر میں سیدہ
آج یہ سالار ہے اور شامیوں کی بھیڑ ہے
مانگتا ہے ہر قدم پر ہاے زینب کی ردا
۳
قافلہ ایک وہ تھا محمل میں تھی سب سیدانیاں
قافلہ ایک یہ ہے پیدل چل رہی ہیں بیبیاں
قافلہ سالار کی غربت کا عالم دیکھ کر
بین کرتی جا رہی ہے ہر قدم پر بیڑیاں
۴
ہر گھڑی صابر رہے دونوں میر کارواں
کربلا تھا ایک کا میداں شام کا اک امتحاں
آج ہے رہوار کی گردن میں سر عباس کا
عابد بیمار کی گردن میں ہے طوق گراں
۵
شور کرتے ہیں ستمگر تازیانے مار کے
منتظر کرسی نشیں ہیں عترت اطہار کے
قتل غیرت ہو رہی ہے ہر گلی ہر موڑ پر
انا للہ ہے لبوں پر عابد بیمار کے
۶
ہے کمر خم اور ہاتھوں میں عصا تھامے ہوئے
کس طرح پہچانیں آخر فاطمہ صغریٰ اسے
آ گیا یاور مدینے میں میرا مولا مگر
لوٹ کر آئی نہ عابد کی جوانی شام سے
Qaafla Saadaat Ka
Aa raha hai Karbala se
Qaafla Saadaat ka
Kal talak saalaar is ka tha Alamdaar-e-jari
Aaj hai saalaar is ka beriyoṅ waala Ali
Haaye Sajjad haaye Sajjad
1
Jab Madine se chala tha qaafla Saadaat ka
Misl-e-Haidar paasbaaṅ Abbas tha Saadaat ka
Kaisi ghurbat ek din meiṅ Bibiyoṅ par chhaa gayi
Ek Aabid natawaaṅ hai aasra Saadaat ka
2
Kal talak Abbas ki thi har qadam par ye sada
Ae parindoṅ munh chhupa lo hai safar meiṅ Sayyeda
Aaj ye saalaar hai aur Shaamiyoṅ ki bhir hai
Maangta hai har qadam par haaye Zainab ki rida
3
Qaafla ek wo tha mahmil meiṅ thi sab Sayyidaaniyaaṅ
Qaafla ek ye hai paidal chal rahi haiṅ Bibiyaaṅ
Qaafla saalaar ki ghurbat ka aalam dekh kar
Bain karti jaa rahi hai har qadam par beriyaaṅ
4
Har ghari saabir rahe donoṅ Mir-e-kaarwaaṅ
Karbala tha ek ka maidaaṅ Shaam ka ek imtihaaṅ
Aaj hai rahwaar ki gardan meiṅ sar Abbas ka
Aabid-e-bimaar ki gardan meiṅ hai tauq-e-giraaṅ
5
Shor karte haiṅ sitamgar taaziyaane maar ke
Muntazir kursi nashiṅ haiṅ Itrat-e-athaar ke
Qatl-e-ghairat ho rahi hai har gali har mor par
Inna lillah hai laboṅ par Aabid-e-bimaar ke
6
Hai kamar kham aur haathoṅ meiṅ asa thaame hue
Kis tarah pehchaaneṅ aakhir Fatima Sughra ise
Aa gaya Yaawar Madine meiṅ mera Maula magar
Laut kar aayi na Aabid ki jawaani Shaam se