پابستۂ زنجیر کے چہرے کو بھی دیکھو
Paabasta-e-Zanjir
Show
پابستۂ زنجیر کے چہرے کو بھی دیکھو
پابستۂ زنجیر کے چہرے کو بھی دیکھو
اے شام کے بازاریو لہجے کو بھی دیکھو
۱
لہجے میں وہی فاتح خیبر کی گرج ہے
کرار کی جرار کی صفدر کی گرج ہے
پیاسے کے گرجتے ہوئے خطبے کو بھی دیکھو
۲
وہ سر کے جو نیزے پہ تلاوت میں ہے مشغول
وہ سر تو ازل سے بھی عبادت میں ہے مشغول
اُس سر کے ذرا خاک میں سجدے کو بھی دیکھو
۳
سب لوگ یہ کس سر کی زیارت کے لیے ہائے
شاید کے پیمبر کی زیارت کے لیے آئے
ہمشکلِ پیمبر کے کلیجے کو بھی دیکھو
۴
ننھا سا وہ اک سر بھی سرِ نوکِ سِناں ہے
جس پہ کے فقط تیر سے کٹنے کا نشاں ہے
بے غیرتوں چھ ماہ کے بچے کو بھی دیکھو
۵
میدان میں بلکتے ہوئے بچوں کو تو دیکھا
شبیر کے جلتے ہوئے خیموں کو تو دیکھا
نیزوں سے رداؤں کے اُترنے کو بھی دیکھو
۶
ہونٹوں پہ بھتیجی کے رہا نام چچا کا
اس نام نے ہر دُکھ میں دیا کام دوا کا
اس نام پہ ظالم کے تماچے کو بھی دیکھو
۷
شاہد ہے فلک دور بہت اور زمیں سخت
بازار سے دربار کی منزل ہے کہیں سخت
اس بات پہ زینب کے تڑپنے کو بھی دیکھو
Paabasta-e-Zanjir
Paabasta-e-zanjir ke chehre ko bhi dekho
Ae Shaam ke baazaariyo lehje ko bhi dekho
1
Lehje meiṅ wohi faateh-e-Khaibar ki garaj hai
Karraar ki jarraar ki Safdar ki garaj hai
Pyaase ke garajte hue khutbe ko bhi dekho
2
Woh sar ke jo neze pe tilaawat meiṅ hai mashghul
Woh sar to azal se bhi ibaadat meiṅ hai mashghul
Us sar ke zara khaak meiṅ sajde ko bhi dekho
3
Sab log yeh kis sar ki ziyaarat ke liye haaye
Shaayad ke Payambar ki ziyaarat ke liye aaye
Hamshakl-e-Payambar ke kaleje ko bhi dekho
4
Nanha sa woh ik sar bhi sar-e-nok-e-sinaaṅ hai
Jis pe ke faqat tir se katne ka nishaaṅ hai
Beghairatoṅ chhe maah ke bachche ko bhi dekho
5
Maidaan meiṅ bilakte hue bachchoṅ ko to dekha
Shabbir ke jalte hue khaimoṅ ko to dekha
Nezoṅ se ridaaoṅ ke utarne ko bhi dekho
6
Hontoṅ pe bhatiji ke raha naam chacha ka
Is naam ne har dukh meiṅ diya kaam dawa ka
Is naam pe zaalim ke tamaache ko bhi dekho
7
Shahid hai falak dur bahut aur zamiṅ sakht
Baazaar se darbaar ki manzil hai kahiṅ sakht
Is baat pe Zainab ke tarapne ko bhi dekho