پال کر زینب نے سب کو کربلا تیار کی
Paal Kar Zainab
Show
پال کر زینب نے سب کو کربلا تیار کی
پال کر زینب نے سب کو کربلا تیار کی
دین کی حرمت پر لٹانے کو ردا تیار کی
۱
وہ صدا نکلی دلِ زینب بن کر یا حسین
دے کے سر شہ نے جو ہل من کی صدا تیار کی
۲
ہاں یہی زینب ہے جس نے اک سائے کی طرح
پشت پر بھائی کے رہ کر کربلا تیار کی
۳
آ گیا اس میں سمٹ کر سرِّ رمزِ لا الہ
یا حسینا کی جو زینب نے صدا تیار کی
۴
ہو سلام اس پر کہ جس نے خون کا نذرانہ دیا
امتوں کے واسطے خاکِ شفا تیار کی
۵
خوں بہا اس ماں سے پوچھو اس کی وارث ہے وہی
جس نے بیٹے کی شہادت کو قبا تیار کی
۶
لا الہ کو جس نے سرنامہ بنایا اے نوید
جس نے اپنے خون سے ان کی بنا تیار کی
Paal Kar Zainab
Paal kar Zainab ne sab ko Karbala tayyaar ki
Din ki hurmat par lutaane ko rida tayyaar ki
1
Wo sada nikli dil-e-Zainab ban kar Ya Husain
De ke sar Shah ne jo hal min ki sada tayyaar ki
2
Haaṅ yehi Zainab hai jis ne ik saaye ki tarah
Pusht par bhaai ke reh kar Karbala tayyaar ki
3
Aa gaya is meiṅ simat kar sirr-e-ramz-e-la ilaah
Ya Husaina ki jo Zainab ne sada tayyaar ki
4
Ho salaam us par ke jis ne khun ka nazraana diya
Ummatoṅ ke waaste khaak-e-shifa tayyaar ki
5
Khuṅ baha us maaṅ se puchho us ki waaris hai wohi
Jis ne bete ki shahaadat ko qaba tayyaar ki
6
La ilaah ko jis ne sarnaama banaaya ae Navid
Jis ne apne khun se un ki bina tayyaar ki