مدحتِ حیدر میرے لب پر زرا آنے تو دو
Midhat-e-Haider mere lab par zara aanay to do

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Midhat-e Haider mere lab par zara aane to do
Daad mujh ko phir tumhara dil agar maane to do
Hosh mein aa jayegi foran sipah-e bad-sifaat
Tum muhibban-e Ali ko josh mein aane to do
Khud ba khud phirte nazar aayenge toofanon ke rukh
Tum fiza mein parcham-e Abbas lehrane to do
Kaun roya kaun soya sab pata chal jayega
Tum shab-e hijrat ka qissa hum ko dohrane to do
Dekhna kaisa tawana hoga yeh laghar mareez
Majlis-e Shah ka tabarruk tum ise khane to do
Saaf aayega nazar maidan ta hadd-e nazar
Hazrat-e Abbas ko maidan mein aane to do