میری بستی کے مسلمان بڑے بھولے ہیں
Meri Basti Ke Musalman Bare Bhole Haiṅ
Show
میری بستی کے مسلمان بڑے بھولے ہیں
۱
حق کے باتوں سے ہیں انجان، بڑے بھولے ہیں
میری بستی کے مسلمان بڑے بھولے ہیں
۲
ہیں تبرّے سے پریشان، بڑے بھولے ہیں
لعنتیں کیوں نہ ہوں قربان، بڑے بھولے ہیں
۳
گھر سے نکلے تھے خریداریئے جنت کے لیے
بیچ کر آ گئے ایمان، بڑے بھولے ہیں
۴
روز پڑھتے ہیں مگر غور نہیں کر پاتے
آج کے حافظِ قرآن، بڑے بھولے ہیں
۵
اے خدیجہؑ تیرے ٹکڑوں پہ یہ پلنے والے
ارے بھول بیٹھے تیرے احسان، بڑے بھولے ہیں
۶
ان کو عاشور کے فاقے سے نہیں ربط کوئی
نام ہے مولوی رمضان، بڑے بھولے ہیں
۷
بغضِ حیدر میں سوئے نار چلے جاتے ہیں
ہائے بےچارے مسلمان، بڑے بھولے ہیں
۸
میں لکھوں اُن کا تعرّف، یہ میرے بس میں کہاں
اُن کی ہے بس یہی پہچان، بڑے بھولے ہیں
۹
گھر میں خالق کے سقیفہ کے خلیفہ کی طرح
یہ تراشے ہوئے بھگوان، بڑے بھولے ہیں
۱۰
نرغۂ کفر میں محبوبِ خدا کو تنہا
چھوڑ آئے سرِ میدان، بڑے بھولے ہیں
۱۱
کر کے بیٹھے ہیں غمِ شاہِ ہُدیٰ کا سودا
ارے قوم و ملت کے نگہبان، بڑے بھولے ہیں
Meri Basti Ke Musalman Bare Bhole Haiṅ
1
Haq ke baato se haiṅ anjaan bare bhole haiṅ
meri basti ke musalman bare bhole haiṅ
2
Haiṅ tabbarre se pareshan bare bhole haiṅ
Lanatieṅ kiuṅ Na Ho qurban bare bhole Haiṅ
3
Ghar se nikale thai kharidaar-e-Jannat ke liye
Bech kar aa gaye imaan bare bhole Haiṅ
4
Roz parhte Haiṅ Magar ghaur nahi kar paate
Aaj ke Hafiz-e-Quran bare bhole haiṅ
5
Ae Khadija tere tukroṅ pe ye palne wale
Are bhul baithe tere ahsaan bare bhole haiṅ
6
Inko aashur ke faqe se nhi rabt koyi
Naam hai maulvi ramzan bare bhole haiṅ
7
bughz-e-haider meiṅ suwe naar chale jaate haiṅ
haye bechare musalmaan bare bhole haiṅ
8
meiṅ likhuṅ unka taarruf ye mere bas meiṅ kahaṅ
unki hai bas ye pehchan bare bhole haiṅ
9
Ghar meiṅ khaliq ke saqifah ke Khalifa ki tarah
Yeh tarashe hue Bhagwan bare bhole haiṅ
10
nargha-e-kufr meiṅ mehbub-e-khuda ko tanha
chor aaye sar-e-maidan bare bhole haiṅ
11
karke bethe haiṅ gham-e-shah-e-huda ka sauda
are qaum o millat ke nighehbaan bare bhole haiṅ