Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

میں جہاد کر رہا ہوں میری تیغ چشم تر ہے

Meri Taygh Chashme

Add to set
Show

میں جہاد کر رہا ہوں میری تیغ چشم تر ہے

میں جہاد کر رہا ہوں میری تیغ چشم تر ہے میرے دشمنوں کو ہر دم میرے آنسوؤں سے ڈر ہے
۱ یہ علم میرا تشَخّص یہ علم میرا تعارف اور اسی کے زیر سایہ میرے وقت کا سفر ہے
۲ جو ہوا ہے کربلا میں وہ لکھا گیا بہت کم جو چھپائے ہے مظالم وہ مورخ کا شر ہے
۳ میرے آنسوؤں نے پھر تو یہ بساط ہی الٹ دی وہ حسینیوں کے دل میں نہ تو خوف ہے نہ ڈر ہے
۴ مگر اتنا یاد رکھیں کہ ہے غیب میں جو قائم ہمیں انتظار اس کا وہ ہمارا ہمسفر ہے
۵ وہ جب آئے گا زمین پر تو پھر انتقام لے گا میرا ایک ایک لمحہ بس اسی کے نام پر ہے
۶ تجھے اے لعین خبر ہے کہ یہ کون خون میں تر ہے جسے ذبح کر رہا ہے وہ رسول کا پسر ہے
۷ وہ جو کہنیوں کے بل پر کسی لاش پر ہے آیا وہ سناں بھی کھینچ لے گا کہ جوان کا پدر ہے
۸ وہ لہو فلک کی عظمت وہ لہو زمین کی حرمت رخ شہہ پہ جو سجا ہے وہ لہو عظیم تر ہے
۹ یہ مکائے حرف شاہد میرے پاس ہے امانت کہ فروغ دوں عزا کو یہی منصب ہنر ہے

Meri Taygh Chashme

Maiṅ jihaad kar raha huṅ meri tegh chashm-e-tar hai Mere dushmanoṅ ko har dam mere aansuoṅ se dar hai
1 Ye alam mera tashakhkhus ye alam mera taaruf Aur isi ke zer-e-saaya mere waqt ka safar hai
2 Jo hua hai Karbala meiṅ wo likha gaya bahut kam Jo chhupaaye hai mazaalim wo muarrikh ka shar hai
3 Mere aansuoṅ ne phir to ye bisaat hi ulat di Wo Husainiyoṅ ke dil meiṅ na to khauf hai na dar hai
4 Magar itna yaad rakhaṅ ke hai ghaib meiṅ jo Qaaim Hameiṅ intezaar us ka wo hamaara muntazar hai
5 Wo jab aayega zamin par to phir inteqaam le ga Mera ek ek lamha bas usi ke naam par hai
6 Tujhe ae lain khabar hai ke ye kaun khun meiṅ tar hai Jise zibh kar raha hai wo Rasul ka pisar hai
7 Wo jo kohniyoṅ ke bal par kisi laash par hai aaya Wo sinaaṅ bhi kheṅch le ga ke jawaan ka padar hai
8 Wo lahu falak ki azmat wo lahu zamin ki hurmat Rukh-e-Shah pe jo saja hai wo lahu azim tar hai
9 Ye makaaye harf Shahid mere paas hai amaanat Ke farogh duṅ aza ko yehi mansab-e-hunar hai