Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

بولے شبیر کے بس میری تمنا یہ ہے

Meri Tamanna Ye Hai

Add to set
Show

بولے شبیر کے بس میری تمنا یہ ہے

بولے شبیر کے بس میری تمنا یہ ہے
۱ کس کا لاشہ ہے جو ٹکڑوں بٹا ہے لوگوں خاک کربل نے کہا قاسم نوشہ یہ ہے
۲ لاشۂ اکبر کو اٹھاتے ہوئے کہتے ہیں حسین نی کو درکار جو ہوتا ہے کلیجہ یہ ہے
۳ فاطمہ زہرا کے بچوں پر بہاؤ آنسو خلد میں جانے کا آسان طریقہ یہ ہے
۴ خلد میں لے کے جو آئے یہ جنابِ زہرا دیکھو اللّٰہ میرے اصغر کا شلوکہ یہ ہے
۵ حق پہ جاں وار کے اسلام بچایا جس نے ہاں یہ دلبندِ نبی سیدِ ذیشان یہ ہے
۶ ہاں نے نظروں سے جو قاتل کا جگر چاک کرے غازی عباس جری ثانیء حیدر یہ ہے
۷ آخری سجدہ جو سرور نے کیا ریتی پر فخر کرتے ہوئے رب نے کہا بندہ یہ ہے
۸ سن کے قرآں کی تلاوت جو دیکھا راہب نے ہاں یہ نیزے پہ بلند قاریِ قرآن یہ ہے
۹ ہاں یہ دربار یزیدی نے سنا جب خطبہ نا بینا کہنے لگا حیدر صفدر یہ ہے
۱۰ یہ مجھے مل گیا مظہر کو لب کوثر پر اپنے اشکوں کے عوض میں نے خریدا یہ ہے

Meri Tamanna Ye Hai

Bole Shabbir ke bas meri tamanna ye hai
1 Kis ka laasha hai jo tukroṅ bata hai logoṅ Khaak-e-Karbal ne kaha Qasim-e-Naushah ye hai
2 Laasha-e-Akbar ko uthaate hue kehte haiṅ Husain Ne ko darkaar jo hota hai kaleja ye hai
3 Fatima Zahra ke bachchoṅ par bahaao aansu Khuld meiṅ jaane ka aasaan tariqa ye hai
4 Khuld meiṅ le ke jo aaye ye Janaab-e-Zahra Dekho Allah mere Asghar ka shaluka ye hai
5 Haq pe jaaṅ waar ke Islam bachaaya jis ne Haaṅ ye dilband-e-Nabi Sayyid-e-Zishaan ye hai
6 Haaṅ ne nazroṅ se jo qaatil ka jigar chaak kare Ghazi Abbas-e-Jari Saani-e-Haidar ye hai
7 Aakhri sajda jo Sarwar ne kiya reti par Fakhr karte hue Rab ne kaha banda ye hai
8 Sun ke Quraaṅ ki tilaawat jo dekha raahib ne Haaṅ ye neze pe buland qaari-e-Quraan ye hai
9 Haaṅ ye darbaar-e-Yazidi ne suna jab khutba Naabina kehne laga Haidar-e-Safdar ye hai
10 Ye mujhe mil gaya Mazhar ko lab-e-Kausar par Apne ashkoṅ ke iwaz maiṅ ne kharida ye hai