مسجدِ کوفہ میں زخمی ہو گیا ایک روزہ دار
Masjid-e-Kufa Meiṅ
Show
مسجدِ کوفہ میں زخمی ہو گیا ایک روزہ دار
مسجدِ کوفہ میں زخمی ہو گیا ایک روزہ دار
زینب و کلثوم کی اب خیر ہو پروردگار
۱
اس نمازی نے نمک سے کی تھی سحری یا خدا
ابنِ ملجم نے کیا ہے سجدۂ خالق میں وار
۲
خون سے تر ہو گئی محراب زخمی اے علی
بیٹیاں گھر میں تڑپ کر کر رہی ہیں انتظار
۳
شبر و شبیر روتے ہیں علی کو دیکھ کر
مسجد کوفہ میں ہے سارے نمازی سوگوار
۴
دیکھ کر حیدر کو زخمی غش میں ہے ام البنین
اور ہے چھوٹے سے عباس دلاور اشک بار
۵
نوحہ پڑھتے ہیں مصلی ہے نمازیں ماتمی
آج سے حیدر کے گھر میں ہے اذانیں غم گسار
۶
دیکھ کر زینب کو حیدر جانے کیوں رونے لگے
دیکھتی ہے بھائی کو حسرت سے زینب بار بار
۷
پھینک کر سر سے عمامہ رو رہا ہے کیوں طبیب
بیٹیاں بابا پہ کرتی ہیں دعاؤں کا حصار
۸
اٹھ رہا تھا جب جنازہ میرے مولا کا ظفر
تھا مدینہ غمزدہ اور شہر کوفہ سوگوار
Masjid-e-Kufa Meiṅ
Masjid-e-Kufa meiṅ zakhmi ho gaya ek rozadaar
Zainab o Kulsum ki ab khair ho Parwardigaar
1
Is namaazi ne namak se ki thi sahri ya Khuda
Ibn-e-Muljim ne kiya hai sajda-e-khaaliq meiṅ waar
2
Khun se tar ho gayi mehraab zakhmi ae Ali
Betiyaṅ ghar meiṅ tarap kar kar rahi haiṅ intezaar
3
Shabbar o Shabbir rote haiṅ Ali ko dekh kar
Masjid-e-Kufa meiṅ hai saare namaazi sogwaar
4
Dekh kar Haidar ko zakhmi ghash meiṅ hai Ummul Banin
Aur hai chhote se Abbas-e-dilaawar ashk baar
5
Nauha parhta hai musalla hai namaazeṅ maatami
Aaj se Haidar ke gham meiṅ hai azaaneṅ gham gusaar
6
Dekh kar Zainab ko Haidar jaane kiuṅ rone lage
Dekhti hai bhaai ko hasrat se Zainab baar baar
7
Pheṅk kar sar se amaama ro raha hai kiuṅ tabib
Betiyaṅ Baaba pe karti haiṅ duaaoṅ ka hisaar
8
Uth raha tha jab janaaza mere Maula ka Zafar
Tha Madina ghamzada aur shahr-e-Kufa sogwaar