مسجد کوفہ ہے روزہ دار ہے
Masjid-e-Kufa Hai
Show
مسجد کوفہ ہے روزہ دار ہے
مسجد کوفہ ہے روزہ دار ہے
فرق سے اونچی لہو کی دھار ہے
آہ داماد پیمبر کے لئے
زہر میں ڈوبی ہوئی تلوار ہے
۱
کہہ رہا ہے زخمی سر سے بہہ کے خوں
دوسرا سجدہ بہت دشوار ہے
۲
رات تک آباد تھا حق کا مکاں
صبح کو اجڑی ہوئی سرکار ہے
۳
فرق پاک مرتضیٰ میں تیغ ہے
یا کلام اللہ میں تلوار ہے
۴
زخمی سر ہے حیدر کرار ہے
دھیمی دھیمی نبض کی رفتار ہے
۵
خون میں ہے غرق داماد نبی
سانس لینا بھی بہت دشوار ہے
Masjid-e-Kufa Hai
Masjid-e-Kufa hai rozadaar hai
Farq se uṅchi lahu ki dhaar hai
Aah daamaad-e-Payambar ke liye
Zehr meiṅ dubi hui talwaar hai
1
Keh raha hai zakhmi sar se beh ke khuṅ
Dusra sajda bahut dushwaar hai
2
Raat tak aabaad tha haq ka makaaṅ
Subh ko ujri hui sarkaar hai
3
Farq-e-paak-e-Murtaza meiṅ tegh hai
Ya kalaam Allah meiṅ talwaar hai
4
Zakhmi sar hai Haidar-e-Karraar hai
Dhimi dhimi nabz ki raftaar hai
5
Khun meiṅ hai gharq daamaad-e-Nabi
Saaṅs lena bhi bahut dushwaar hai