Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

میں پنجتنی پنجتنی پنجتنی ہوں

Maiṅ Panjtani Panjtani Panjtani Huṅ

Add to set
Show

میں پنجتنی پنجتنی پنجتنی ہوں

دعویٰ ہے میرا نارِ جہنم سے بری ہوں میں پنجتنی پنجتنی پنجتنی ہوں
۱ سو جائے جو قسمت تو جگا لیتا ہوں خود ہی ہر بگڑا ہوا کام بنا لیتا ہوں خود ہی میں بندۂ سرکارِ حسین ابنِ علی ہوں
۲ دیوانۂ حیدر ہوں میں عشق سے سرشار عباس کا نوکر ہوں شہِ دیں کا عزادار پھر کیوں نہ کہوں میں کہ مقدر کا دھنی ہوں
۳ محتاج نہیں ہوں میں زمانے میں کسی کا صدقہ مجھے ملتا ہے بہت آلِ نبی کا اس در کا بھکاری ہوں دو عالم میں غنی ہوں
۴ یہ بات ہوا کرتی ہے آندھی کی زبان میں جو پنجتنِ پاک کے دشمن ہیں جہاں میں میں نام و نشان ان کا مٹانے کو چلی ہوں
۵ کہتا ہے عزادار کا ہر ہاتھ یہ اٹھ کر ہر اک منافق ہے میرے پنجے کی ضد پر میں ہاتھ ہوں مومن کا ہر اک ایسا قوی ہوں
۶ ہر اہلِ عرب اہلِ عجم اہلِ ادب کو پنج وقت نماز آ کے بتاتی ہے یہ سب کو میں آلِ محمد کے گھرانے میں پلی ہوں
۷ کہتے ہیں جسے خلد وہ گھر میرے لیے ہے تا عرشِ بریں اذنِ سفر میرے لیے ہے میں کوئی فرشتہ ہوں ملک ہوں نہ پری ہوں
۸ روشن میری تقدیر ہے بیزار ہے احساس حسنین کی الفت کے اجالے ہیں میرے پاس میں گوہرِ نایاب ہوں فرزندِ ولی ہوں

Maiṅ Panjtani Panjtani Panjtani Huṅ

Daawa hai mera naar-e-Jahannam se bari huṅ Maiṅ Panjtani Panjtani Panjtani huṅ
1 So jaaye jo qismat to jaga leta huṅ khud hi Har bigra hua kaam bana leta huṅ khud hi Maiṅ banda-e-Sarkar-e-Husain Ibn-e-Ali huṅ
2 Diwana-e-Haider huṅ maiṅ ishq se sarshaar Abbas ka naukar huṅ Shah-e-Diṅ ka azaadaar Phir kiuṅ na kahuṅ maiṅ keh muqaddar ka dhani huṅ
3 Muhtaaj nahiṅ huṅ maiṅ zamaane meiṅ kisi ka Sadqa mujhe milta hai bahut Aal-e-Nabi ka Is dar ka bhikaari huṅ do aalam meiṅ ghani huṅ
4 Yeh baat hawa karti hai aandhi ki zabaan meiṅ Jo Panjtan-e-Paak ke dushman haiṅ jahaaṅ meiṅ Maiṅ naam o nishaan un ka mitaane ko chali huṅ
5 Kehta hai azaadaar ka har haath yeh uth kar Har ik munaafiq hai mere panje ki zid par Maiṅ haath huṅ momin ka har ik aisa qavi huṅ
6 Har ahl-e-Arab ahl-e-Ajam ahl-e-adab ko Panj waqt namaaz aa ke bataati hai yeh sab ko Maiṅ Aal-e-Muhammad ke gharaane meiṅ pali huṅ
7 Kehte haiṅ jise khuld woh ghar mere liye hai Ta arsh-e-bariṅ izn-e-safar mere liye hai Maiṅ koi farishta huṅ malak huṅ na pari huṅ
8 Roshan meri taqdir hai bezaar hai ehsaas Hasnain ki ulfat ke ujaale haiṅ mere paas Maiṅ Gohar-e-Naayaab huṅ farzand-e-Wali huṅ