میں محمد ہوں
Maiṅ Muhammad Huṅ
Show
میں محمد ہوں
میں محمد ہوں اکبر ہے میرا نام
۱
میں رازِ لا الٰہ ہوں
میں روحِ کربلا ہوں
مجھ کو حسین نہ کہنا
میں حسن کا خدا ہوں
۲
آیت کی زباں ہوں
غیرت کا آسمان ہوں
مجھ کو بشر نہ سمجھو
میں سر تا بہ عزا ہوں
۳
میں جرأتوں کی حد ہوں
خود آپ اپنی جد ہوں
قرآن میرا بدن ہے
میں آیتوں کا قد ہوں
۴
میں مصدرِ ادب ہوں
میں ضامنِ نسب ہوں
کربل میں دین پلا
میں کربلا کا رب ہوں
۵
حق کے نصاب میں ہوں
اور الکتاب میں ہوں
وہ بھی حجاب میں ہے
میں بھی حجاب میں ہوں
۶
عمران کا لہو ہوں
یوسف کی آرزو ہوں
میں کیوں کروں وظیفے
میں آپ اللہ ہو ہوں
۷
میں کیا ہوں یہ بتا دوں
یہ معجزہ دکھا دوں
خاکِ شفا سے آدم
چاہوں یہیں بنا دوں
۸
مت سوچنا ملوں گا
میں تم سے کیا ملوں گا
میں زین چھوڑتے ہی
وحدت میں جا ملوں گا
۹
حیدر میرا حوالہ
ہر سوچ سے ہے بالا
امِ ابیہا بن کے
زینب نے مجھ کو پالا
Maiṅ Muhammad Huṅ
Maiṅ Muhammad huṅ Akbar hai mera naam
1
Maiṅ raaz-e-La Ilaha huṅ
Maiṅ ruh-e-Karbala huṅ
Mujh ko hasin na kehna
Maiṅ husn ka Khuda huṅ
2
Aayat ki zabaaṅ huṅ
Ghairat ka aasmaan huṅ
Mujh ko bashar na samjho
Maiṅ sar ta ba azza huṅ
3
Maiṅ juratoṅ ki had huṅ
Khud aap apni jad huṅ
Quran mera badan hai
Maiṅ aayatoṅ ka qad huṅ
4
Maiṅ masdar-e-adab huṅ
Maiṅ zaamin-e-nasab huṅ
Karbal meiṅ din pala
Maiṅ Karbala ka Rab huṅ
5
Haq ke nisaab meiṅ huṅ
Aur Al-Kitab meiṅ huṅ
Woh bhi hijaab meiṅ hai
Maiṅ bhi hijaab meiṅ huṅ
6
Imran ka lahu huṅ
Yusuf ki aarzu huṅ
Maiṅ kiuṅ karuṅ wazife
Maiṅ aap Allah Hu huṅ
7
Maiṅ kya huṅ yeh bata duṅ
Yeh mojiza dikha duṅ
Khak-e-shifa se Aadam
Chahuṅ yahiṅ bana duṅ
8
Mat sochna miluṅ ga
Maiṅ tum se kya miluṅ ga
Maiṅ zin chhorte hi
Wahdat meiṅ ja miluṅ ga
9
Haider mera hawala
Har soch se hai baala
Umm-e-Abiha ban ke
Zainab ne mujh ko pala