میں عظمتوں کا سویرا ہوں، نام قاسم ہے
main azmaton ka sawera hun, naam qasim hai

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Main azmaton ka sawera hoon, naam Qasim hai
Mataa-e Fatima Zahra hoon, naam Qasim hai
Shujaaton ki tamanna hoon, naam Qasim hai
Qaseem-e Khuld ka pota hoon, naam Qasim hai
Kitab-e jang mein tarmeem karne aaya hoon
Tumhare jismon ko taqseem karne aaya hoon
Hayat chhor ke shamshan lo to behtar hai
Haqeeqaton ko abhi jaan lo to behtar hai
Jo keh raha hoon use maan lo to behtar hai
Main kaun hoon mujhe pehchan lo to behtar hai
Shujaaton ke saheefon ka main nateeja hoon
Yahi bohat hai ke Abbas ka bhateeja hoon
Galon ko tegh ka pani pila ke dam loon ga
Ali ki yaad jahan ko dila ke dam loon ga
Charagh-e fatah-e Husaini jala ke dam loon ga
Sitamgaron ko jahan se mita ke dam loon ga
Bahaduri ke liye naqsha-e kamal hoon main
Ali ka noor-e nazar hoon, Hasan ka laal hoon main
Woh daagh-dar nasab aaina dikhao use
Ke haarne ki khabar tum zara sunao use
Kahan hai Shaam ka Marhab, bula ke lao use
Na aa raha ho to maqsad mera batao use
Khuda ke sher ke johar dikhane aaya hoon
Main aaj phir dar-e Khyber uthane aaya hoon
Yeh waqt arsa-e mahshar se jor sakta hoon
Hayat-o-maut ke dhare ko mor sakta hoon
Har ek zulm ke Khyber ko tor sakta hoon
Badan se rooh ka pani nichor sakta hoon
Kitab-e fatah se wannaas likh ke aaya hoon
Main apne shanon pe Abbas likh ke aaya hoon
Jama ke dushman-e deen pe nazar barhe Qasim
Yaqeen se pa-e fatah-o-zafar barhe Qasim
Dikhane tegh-e Ali ka hunar barhe Qasim
Jidhar tha Azraq-e Shami udhar barhe Qasim
Kuch is tarah se laeen ko supurd-e naar kiya
Ke ek waar mein do aur do ko chaar kiya