مدح آمد امام حسن
Madh-e-Aamad-e-Imam Hasan
Show
مدح آمد امام حسن
ماہِ صیام کا ہے وسط اور آمدِ حسن
جناں میں جشن کی سجی ہوئی ہے آج انجمن
۱
کرم ہے یہ میں فرش پر ہوں عرش پر ہے فکر و فن
دل و دماغ اور میرے خیال ہیں وہاں مگن
۲
حسن کے عشق میں قبائے سبز کر کے زیبِ تن
وہ نشۂ ولا کی موج میں ہیں سارے موجزن
۳
لگا ہے ایسا آمدِ حسن کی منقبت پہ من
میں پڑھ رہا ہوں اور انبیا ہیں میرے ہم سخن
۴
حسن وہ جس کو مصطفیٰ پکارتے ہیں جانِ من
کہا گیا علی کو جس کے آنے پر ابو الحسن
۵
ہرا بھرا یہ ہو گیا ہے جس سے فاطمی چمن
وہ پنجتن کی بزم میں حسن ہے چوتھا گل بدن
۶
علی و فاطمہ کی اس خوشی سے ہے جسے جلن
جلائے گی بروزِ حشر اس کو دوزخی اگن
۷
نبی کی آل پر ہے جو بھی طعنہ زن یا تیر زن
عذاب سے نہ بچ سکے گا چاہے کر لے سو جتن
۸
پیامِ امن لے کے چل رہی ہے ہر طرف پون
درود کی صداؤں سے فضا سے چھٹ رہی گھٹن
۹
زمانہ ہے قیام میں ذرا سی بھی نہیں تھکن
لبوں پہ حرفِ تہنیت لیے فرشتے ہیں مگن
۱۰
فلک تلک سجا سجا زمین زمین زمن زمن
گلوں کے سر سجود میں تشکر اک چمن چمن
۱۱
پہن لیا خوشی سے ہر شجر نے سبز پیرہن
وہ پانیوں پہ گرتی آبشاروں کی جھنن جھنن
۱۲
حجابِ نورِ لم یلد میں نور کی پڑی کرن
نزولِ مجتبیٰ ہوا زمین بن گئی عدن
۱۳
ملائکہ کے ساتھ جبریل ہے وہ نعرہ زن
وہ آ گئے وہ آ گئے بتول گود میں حسن
Madh-e-Aamad-e-Imam Hasan
Maah-e-siyaam ka hai wast aur aamad-e-Hasan
Jinaaṅ meiṅ jashn ki saji hui hai aaj anjuman
1
Karam hai ye maiṅ farsh par huṅ arsh par hai fikr o fan
Dil o dimaagh aur mere khayaal haiṅ wahaaṅ magan
2
Hasan ke ishq meiṅ qaba-e-sabz kar ke zeb-e-tan
Wo nasha-e-wila ki mauj meiṅ haiṅ saare maujzan
3
Laga hai aisa aamad-e-Hasan ki manqabat pe man
Maiṅ parh raha huṅ aur Anbiya haiṅ mere ham sukhan
4
Hasan wo jis ko Mustafa pukaarte haiṅ jaan-e-man
Kaha gaya Ali ko jis ke aane par Abul Hasan
5
Hara bhara ye ho gaya hai jis se Faatimi chaman
Wo Panjtan ki bazm meiṅ Hasan hai chautha gul badan
6
Ali o Faatima ki is khushi se hai jise jalan
Jalaaye gi baroz-e-hashr us ko dozakhi agan
7
Nabi ki Aal par hai jo bhi taana zan ya tir zan
Azaab se na bach sake ga chaahe kar le sau jatan
8
Payaam-e-amn le ke chal rahi hai har taraf pawan
Durud ki sadaaoṅ se fiza se chhat rahi ghutan
9
Zamaana hai qiyaam meiṅ zara si bhi nahiṅ thakan
Laboṅ pe harf-e-tahniyat liye farishte haiṅ magan
10
Falak talak saja saja zamin zamin zaman zaman
Guloṅ ke sar sujud meiṅ tashakkur ik chaman chaman
11
Pehan liya khushi se har shajar ne sabz pairahan
Wo paaniyoṅ pe girti aabshaaroṅ ki jhanan jhanan
12
Hijaab-e-nur-e-lam yalid meiṅ nur ki pari kiran
Nuzul-e-Mujtaba hua zamin ban gayi Adan
13
Malaaika ke saath Jibril hai wo naara zan
Wo aa gaye wo aa gaye Batul god meiṅ Hasan