لازم تھی مجھ پہ رد بلا، کیا برا کیا
lazim thi mujh pe rad e bala

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Lazim thi mujh pe rad-e bala, kya bura kiya
Nad-e Ali se kaam liya, kya bura kiya
Khaliq se milti julti hai tasveer aap ki
Is mein Naseeriyon ne bhala, kya bura kiya
Jis mein sharab-e ishq-e Ali ki ramaq na thi
Woh jaam main ne tor diya, kya bura kiya
Jis ne halakaton se bachaya tha Sheikh ko
Main ne usi ka naam liya, kya bura kiya
Khaliq ki bargah mein takheer dekh kar
Mangi Ali ke dar pe dua, kya bura kiya
Jata hai khud tawaf ko Kaaba bhi Karbala
Phir main ne ja ke Karbobala, kya bura kiya
Badlo na ittihad ke bistar pe karwaten
Main ne kaha bure ko bura, kya bura kiya
Karni thi mujh ko Hazrat Abbas ki sana
Naam-e Ali se kaam liya, kya bura kiya
Leni thi mujh ko daulat-e zikr-e Husain ki
Sar kham Ali ke dar pe kiya, kya bura kiya