کوئی نبی نہیں ہے میرے مصطفیٰ کے بعد
Koi Nabi Nahiṅ Hai Mere Mustafa Ke Baad
Show
کوئی نبی نہیں ہے میرے مصطفیٰ کے بعد
۱
کوئی نبی نہیں ہے میرے مصطفیٰ کے بعد
شیرِ خدا نہیں ہے کوئی مرتضیٰ کے بعد
نہ ہے کسی کے بیٹے حسین و حسن سے اور
نہ فاطمہ سی ماں ہے کوئی فاطمہ کے بعد
۲
اتنے ستم ہوئے ہیں محمد کی آل پر
ہوتی رہی ہے ابتدا ہر انتہا کے بعد
جیسی پڑھی حسین نے تیروں کی چھاؤں میں
ایسی نماز پھر نہ ہوئی کربلا کے بعد
۳
قاتل کو بھی عطا کیا شربت حضور نے
اتنا کرم ہے لوگو اتنی جفا کے بعد
عباس تیرے نام کو میں اپنے عشق سے
پہلے وفا کے لکھوں یا لکھوں وفا کے بعد
۴
شبیر کہہ کے بھائی بلاتے رہے جسے
حر اور کیا سوال کرے اس عطا کے بعد
دربارِ شام میں کہا زینب نے سن یزید
ڈرتے نہیں کسی سے بھی ہم تو خدا کے بعد
Koi Nabi Nahiṅ Hai Mere Mustafa Ke Baad
1
Koi Nabi nahiṅ hai mere Mustafa ke baad
Sher-e-Khuda nahiṅ hai koi Murtaza ke baad
Na hai kisi ke bete Husain o Hasan se aur
Na Faatima si maaṅ hai koi Faatima ke baad
2
Itne sitam hue haiṅ Muhammad ki Aal par
Hoti rahi hai ibtida har inteha ke baad
Jaisi parhi Husain ne tiroṅ ki chhaoṅ meiṅ
Aisi namaaz phir na hui Karbala ke baad
3
Qaatil ko bhi ata kiya sharbat Huzur ne
Itna karam hai logo itni jafa ke baad
Abbas tere naam ko maiṅ apne ishq se
Pehle wafa ke likhuṅ ya likhuṅ wafa ke baad
4
Shabbir keh ke bhai bulaate rahe jise
Hur aur kya sawaal kare is ata ke baad
Darbaar-e-Shaam meiṅ kaha Zainab ne sun Yazid
Darte nahiṅ kisi se bhi ham to Khuda ke baad