Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

مسجد بھی رو رہی ہے کعبہ بھی رو رہا ہے

Karbala Tayyar Hai

Add to set
Show

مسجد بھی رو رہی ہے کعبہ بھی رو رہا ہے

مسجد بھی رو رہی ہے کعبہ بھی رو رہا ہے حیدر کا قتل کیا ہے آغاز کربلا ہے
کربلا تیار ہے کربلا تیار ہے خون حیدر کہہ رہا ہے کربلا تیار ہے
سوگ میں ڈوبی فضا ہے کربلا تیار ہے خون حیدر کہہ رہا ہے کربلا تیار ہے
۱ آئے جب مسجد سے گھر میں زخمی ہو کر مرتضیٰ باپ کو تر خون میں دیکھا رو کے زینب نے کہا اب مجھے ایسا لگا ہے کربلا تیار ہے
۲ آ گئی سکتے میں فضہ کیوں یہ کیا جانے کوئی پاؤں میں بیٹھی تھی بیٹی اور سرہانے کوئی کہہ کے غازی چپ کھڑا ہے کربلا تیار ہے
۳ ام ہانی اور خدیجہ رو کے یہ کہنے لگی اس قدر ہے زخم گہرا خون میں تر ہے جبیں ہاں یہ منظر کہہ رہا ہے کربلا تیار ہے
۴ فجر سے یوں روتے روتے بول اٹھی شام عزا روزہ داروں خاک اڑاؤ ہے یہ ایام عزا دل سبھی کا سوچتا ہے کربلا تیار ہے
۵ پھینک کر چادر سروں سے بیٹیاں ہے محوِ غم شاہ دیں نوحہ کناں ہے بیٹھ کر زیر علم بنت زہرا بے ردا ہے کربلا تیار ہے
۶ پہلا غم زہرا کا جانا دوسرا حیدر کا غم خود صف ماتم بچھا کر بول اٹھے شاہ امم فرش غم کی ابتداء ہے کربلا تیار ہے
۷ اب کہاں تاب سخن ہے بس لبوں پر جان ہے صفدر و مظہر یہ نوحہ درد کا قرآن ہے ایک مکمل مرثیہ ہے کربلا تیار ہے

Karbala Tayyar Hai

Masjid bhi ro rahi hai Kaaba bhi ro raha hai Haidar ka qatl kya hai aaghaaz-e-Karbala hai
Karbala tayyaar hai Karbala tayyaar hai Khun-e-Haidar keh raha hai Karbala tayyaar hai
Sog meiṅ dubi fiza hai Karbala tayyaar hai Khun-e-Haidar keh raha hai Karbala tayyaar hai
1 Aaye jab masjid se ghar meiṅ zakhmi ho kar Murtaza Baap ko tar khun meiṅ dekha ro ke Zainab ne kaha Ab mujhe aisa laga hai Karbala tayyaar hai
2 Aa gayi sakte meiṅ Fizza kiuṅ ye kya jaane koi Paaoṅ meiṅ baithi thi beti aur sarhaane koi Keh ke Ghaazi chup khara hai Karbala tayyaar hai
3 Umm-e-Haani aur Khadija ro ke ye kehne lagi Is qadar hai zakhm gehra khun meiṅ tar hai jabiṅ Haaṅ ye manzar keh raha hai Karbala tayyaar hai
4 Fajr se yuṅ rote rote bol uthi shaam-e-aza Rozadaaroṅ khaak uraao hai ye ayyaam-e-aza Dil sabhi ka sochta hai Karbala tayyaar hai
5 Pheṅk kar chaadar saroṅ se betiyaaṅ hai mahw-e-gham Shaah-e-diṅ nauha-kunaaṅ hai baith kar zer-e-alam Bint-e-Zehra berida hai Karbala tayyaar hai
6 Pehla gham Zehra ka jaana dusra Haidar ka gham Khud saf-e-maatam bichha kar bol uthe Shaah-e-umam Farsh-e-gham ki ibtida hai Karbala tayyaar hai
7 Ab kahaaṅ taab-e-sukhan hai bas laboṅ par jaan hai Safdar o Mazhar ye nauha dard ka Quraan hai Ek mukammal marsiya hai Karbala tayyaar hai