Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

بعد عاشور جو کیا ہم پہ ستم

Karbala Se Shaam

Add to set
Show

بعد عاشور جو کیا ہم پہ ستم

بعد عاشور جو کیا ہم پہ ستم کربلا سے کوفہ و شام بے مقنہ و چادر رسیوں میں ہے جکڑے لے گئے شام ہائے شام ہائے شام کربلا سے شام کربلا سے شام
۱ جیا جب تلک وہ بیکس امام یہی تھی فغاں لبوں پر مدام نہیں بھولوں گا کبھی راہ شام لعینوں کا تھا جہاں ازدحام کھلے سر جہاں حرم تھے تمام
۲ میری آنکھوں سے رواں اشک تھے حرم شاہ کے سبھی سر کھلے زباں پر میری فغاں تھی یہی چلی قلب پر میرے یہ چھری لعیں لے رہے تھے زینب کا نام
۳ میرا گھر لٹا میرا در لٹا ہوئے قتل سب پدر بھی میرا میرے طفل بھی رہے تشنہ لب ہوا قید بھی سبھی بے سبب چھنی چادریں جلے سب قیام
۴ جفا پر جفا نہیں انتہا مگر کی نہیں کبھی بد دعا امامت کا یہ کٹھن تھا سفر چلی بیٹیاں علی کی جدھر چلے ساتھ میں ستمگر تمام
۵ کروں کیا بیاں میں وہ سختیاں سر راہ تھی سبھی بی‌بیاں اسی درد سے پھٹا ہے جگر علی کے حرم رہے نوحہ گر ستم کے نہیں کہیں اختتام
۶ ابھی تک مجھے وہ سب یاد ہے دیار ستم حرم جب گئے سروں پر وہاں برسنے لگے کہیں سنگ اور کہیں قہقہے بھلایا گیا نہیں وہ مقام
۷ یہ نوحہ نہیں یہ ہے مرثیہ حسن کس طرح بیاں ہو بھلا قلم بھی میرا تڑپنے لگا ہوئی ضبط کی یہاں انتہا چلا کانٹوں پر وہ میرا امام

Karbala Se Shaam

Baad-e-Aashur jo kiya hum pe sitam Karbala se Kufa o Shaam bemiqna o chaadar Rassiyoṅ meiṅ hai jakre le gaye Shaam Haaye Shaam haaye Shaam Karbala se Shaam Karbala se Shaam
1 Jiya jab talak wo bekas Imaam Yehi thi fughaaṅ laboṅ par mudaam Nahiṅ bhuluṅ ga kabhi raah-e-Shaam Lainoṅ ka tha jahaaṅ izdihaam Khule sar jahaaṅ haram the tamaam
2 Meri aankhoṅ se rawaaṅ ashk the Haram-e-Shaah ke sabhi sar khule Zabaaṅ par meri fughaaṅ thi yehi Chali qalb par mere ye chhuri Laiṅ le rahe the Zainab ka naam
3 Mera ghar luta mera dar luta Hue qatl sab padar bhi mera Mere tifl bhi rahe tashnalab Hua qaid bhi sabhi besabab Chhini chaadareṅ jale sab qayaam
4 Jafa par jafa nahiṅ inteha Magar ki nahiṅ kabhi bad dua Imaamat ka ye kathin tha safar Chali betiyaaṅ Ali ki jidhar Chale saath meiṅ sitamgar tamaam
5 Karuṅ kya bayaaṅ maiṅ wo sakhtiyaaṅ Sar-e-raah thi sabhi Bibiyaaṅ Isi dard se phata hai jigar Ali ke haram rahe nauhagar Sitam ke nahiṅ kahiṅ ikhtitaam
6 Abhi tak mujhe wo sab yaad hai Diyaar-e-sitam haram jab gaye Saroṅ par wahaaṅ barasne lage Kahiṅ sang aur kahiṅ qahqahe Bhulaaya gaya nahiṅ wo maqaam
7 Ye nauha nahiṅ ye hai marsiya Hasan kis tarah bayaaṅ ho bhala Qalam bhi mera tarapne laga Hui zabt ki yahaaṅ inteha Chala kaaṅtoṅ par wo mera Imaam