ہر عزادار ہر ایک ہر وقت یہی کہتا ہے
Karbala Meri Jaan
Show
ہر عزادار ہر ایک ہر وقت یہی کہتا ہے
ہر عزادار ہر ایک ہر وقت یہی کہتا ہے
کربلا میری جان ہے
ماتمی جتنے بھی ہے سب کا یہی نعرہ ہے
کربلا میری جان ہے
۱
کربلا روز ازل سے ہے وفا کا مرکز
کربلا حشر تلک دین خدا کا مرکز
کربلا خانۂ کعبہ کی بقا کا مرکز
کربلا درد کے ماروں کی شفا کا مرکز
جس پہ جنت بھی ہے قربان یہ وہ خطہ ہے
۲
کبھی آدم کبھی صالح کبھی موسیٰ نے کہا
کبھی یوسف کبھی یونس کبھی عیسیٰ نے کہا
خضر الیاس ابراہیم زکریا نے کہا
نوح ایوب سلیمان نے یحییٰ نے کہا
سارے نبیوں کا رسولوں کا یہی کہنا ہے
۳
ہے میری شان کربلا
ہے میری جان کربلا
میرا ایمان کربلا
میری پہچان کربلا
مصطفیٰ نے یہ کہا کربوبلا میری جان
مرتضیٰ نے یہ کہا کربوبلا میری جان
فاطمہ نے کہا کربوبلا میری جان
مجتبیٰ نے یہ کہا کربوبلا میری جان
کہنے والوں کی اسی صف میں کھڑا کعبہ ہے
۴
چودہ صدیوں سے شہیدوں کی عزا جاری ہے
ہم عزاداروں کی رگ رگ میں عزاداری ہے
ہر گھڑی کربوبلا جانے کی تیاری ہے
ہم نے جان اپنی زیارت کے لئے واری ہے
دل اسی بات میں دن رات لگا رہتا ہے
ہے میری شان کربلا
ہے میری جان کربلا
میرا ایمان کربلا
میری پہچان کربلا
۵
کربلا دور ہے گر جا نہیں پاتے ہے ہم
کربلا اپنے علاقہ میں بناتے ہیں ہم
اور پیاسوں پہ وہاں خون بہاتے ہیں
نوحہ پڑھ پڑھ کے زمانے کو بتاتے ہیں ہم
کربلا اور عزاداروں کا یہ رشتہ ہے
۶
خون اس خاک میں کمسن علی اصغر کا ملا
خون اس خاک میں قاسم سے گل تر کا ملا
خون اس خاک میں ہمشکل پیمبر کا ملا
خون اس خاک میں عباس کا سرور کا ملا
بس اسی خاک میں مل جانے کو دل کرتا ہے
ہے میری شان کربلا
ہے میری جان کربلا
میرا ایمان کربلا
میری پہچان کربلا
۷
ہر عزادار کے دل کی یہ صدا ہے واعظ
جو بھی غم خوار ہے سب کی یہ دعا ہے واعظ
یہی ارمان ہر ایک دل میں بسا ہے واعظ
سب کی حسرت سفر کربوبلا ہے واعظ
دل کے اندر بھی عزاداروں نے لکھ رکھا ہے
Karbala Meri Jaan
Har azadaar har ek waqt yehi kehta hai
Karbala meri jaan hai
Maatami jitne bhi hai sab ka yehi naara hai
Karbala meri jaan hai
1
Karbala roz-e-azal se hai wafa ka markaz
Karbala hashr talak din-e-Khuda ka markaz
Karbala khaana-e-Kaaba ki baqa ka markaz
Karbala dard ke maaroṅ ki shifa ka markaz
Jis pe jannat bhi hai qurbaan ye wo khitta hai
2
Kabhi Aadam kabhi Saaleh kabhi Musa ne kaha
Kabhi Yusuf kabhi Yunus kabhi Isa ne kaha
Khizr Ilyaas Ibraahim Zakariya ne kaha
Nuh Ayyub Sulaimaan ne Yahya ne kaha
Saare nabiyoṅ ka rasuloṅ ka yehi kehna hai
3
Hai meri shaan Karbala
Hai meri jaan Karbala
Mera imaan Karbala
Meri pehchaan Karbala
Mustafa ne ye kaha Karbobala meri jaan
Murtaza ne ye kaha Karbobala meri jaan
Fatema ne kaha Karbobala meri jaan
Mujtaba ne ye kaha Karbobala meri jaan
Kehne waaloṅ ki isi saf meiṅ khara Kaaba hai
4
Chaudah sadiyoṅ se shahidoṅ ki aza jaari hai
Hum azadaaroṅ ki rag rag meiṅ azadaari hai
Har ghari Karbobala jaane ki tayyaari hai
Hum ne jaan apni ziyaarat ke liye waari hai
Dil isi baat meiṅ din raat laga rehta hai
Hai meri shaan Karbala
Hai meri jaan Karbala
Mera imaan Karbala
Meri pehchaan Karbala
5
Karbala dur hai gar jaa nahiṅ paate hai hum
Karbala apne ilaqe meiṅ banaate haiṅ hum
Aur pyaasoṅ pe wahaaṅ khun bahaate haiṅ
Noha parh parh ke zamaane ko bataate haiṅ hum
Karbala aur azadaaroṅ ka ye rishta hai
6
Khun is khaak meiṅ kamsin Ali Asghar ka mila
Khun is khaak meiṅ Qaasim se gul-e-tar ka mila
Khun is khaak meiṅ hamshakl-e-Payambar ka mila
Khun is khaak meiṅ Abbaas ka Sarwar ka mila
Bas isi khaak meiṅ mil jaane ko dil karta hai
Hai meri shaan Karbala
Hai meri jaan Karbala
Mera imaan Karbala
Meri pehchaan Karbala
7
Har azadaar ke dil ki ye sada hai Waaiz
Jo bhi ghamkhwaar hai sab ki ye dua hai Waaiz
Yehi armaan har ek dil meiṅ basa hai Waaiz
Sab ki hasrat safar-e-Karbobala hai Waaiz
Dil ke andar bhi azadaaroṅ ne likh rakha hai