سلام کربلا
Karbala Mera Watan
Show
سلام کربلا
سلام کربلا
خدا نے کن جو کہا تو کائنات بنی
جو دن تو خلق کیا تو دن سے رات بنی
یہ چاند تارے یہ سورج یہ دو جہان بنے
زمیں بچھائی گئی ساتوں آسمان بنے
بشر بنائے گئے خاک سے بہ حکم خدا
انہیں بشر میں ہوئے خلق خاص اہلِ عزا
جنابِ فاطمہ زہرا کی یہ دعا سے بنے
کرم حسین کا تھا خاک کربلا سے بنے
پھر اس خدا نے ہر اک کا چمن قرار دیا
ہر ایک زمیں کو کسی کا وطن قرار دیا
تو کربلا کو ہمارا وطن قرار دیا
پوچھا جہان نے جب نام و پتہ
ہر ماتمی کا یہی تھا سخن
کربلا کربلا میرا وطن
۱
رب نے ہی کون و مکاں کو سجایا
اس نے ہی دونوں جہاں کو بسایا
ہم کو ہے نسبت کربوبلا سے
ہم کو اسی مٹی سے بنایا
ساری دلیلیں پاس ہے جب
پھر مجھ کو کہنے میں کیا الجھن
۲
کربوبلا پہچان ہے میری
کربوبلا سے ہی شان ہے میری
کربوبلا میری روح کے اندر
کربوبلا میں ہی جان ہے میری
میرے وطن کی مثال نہیں
نازاں ہے اس پر چرخ کہن
۳
میرا وطن ہے زمیں اولیاء کی
میرا وطن ہے زمیں اوصیاء کی
یہ بھی تو فخر ہے میرے وطن کا
میرا وطن ہے زمیں انبیاء کی
دین و شریعت کی ہے اماں
دین خدا کا یہی ہے چمن
۴
میرے وطن کا عجب معجزہ ہے
خاک بھی اس کی خاک شفا ہے
یہ درسگاہ صبر و رضا ہے
اس کی ہوا میں خوشبوئے وفا ہے
صبر و رضا کا وفا کا یہی
روز ازل سے رہا مسکن
۵
زہرا کے بیٹے سے پہلے جو پہنچا
پیش محمد سر کو جھکایا
خلد بریں کی سند تجھے دے دی
حر سے محمد نے فرمایا
حر نے کہا میں رہوں گا وہیں
اے میرا آقا رسولِ زمن
۶
کربوبلا ہی نصیب ہے میرا
کربوبلا میں حبیب ہے میرا
کربوبلا میرے غم کی دوا ہے
کربوبلا میں طبیب ہے میرا
چاہے کہیں پہ بھی آئے قضا
کربوبلا میں ہو میرا مدفن
۷
ہاں یہ زمیں بڑی معتبر ہے
چاند ستاروں کی راہ گزر ہے
حسن یہیں سے ہے شمس و قمر کا
سجدگاہ دل شمس و قمر ہے
ہے کہکشانوں کا ناز یہی
خلد بریں کا یہی ہے صحن
۸
ہاں یہ زمین ہے دل زینب کا
اس پہ کیا سجاد نے سجدہ
یہی زمیں ہے رسول کی مسند
ہاں یہ زمین زہرا کا مصلی
جی نہیں لگتا اور کہیں
بولے علی سے امام حسن
۹
خاک یہی کی ردائے حرم ہے
قلب سکینہ کا مرہم ہے
لاشہء اصغر اس نے چھپایا
سینے میں اس کے سبھی کا غم ہے
بھائی میرا سوتا ہے یہاں
کہتی تھی رو کے غریب بہن
۱۰
سینے میں اس کے ہے لاشیں بہتر
ہے یہ زمیں گہوارہء اصغر
چھوڑ کے قبر یہی رہتی ہے
محوِ بکا شبیر کی مادر
خونِ شہیداں کی ہے امین
سارے شہیدوں کا ہے کفن
۱۱
کربوبلا سے ہے عزت و شہرت
کربوبلا سے ہے میری فصاحت
اہلِ عزا کے دلوں کی صدا ہے
کربوبلا ہی ہماری ہے جنت
ہے میرا عشق یہی صفدر
اس پہ فدا میرا تن من دھن
Karbala Mera Watan
Salaam Karbala
Khuda ne kun jo kaha to kaainaat bani
Jo din to khalq kiya to din se raat bani
Ye chaand taare ye suraj ye do jahaan bane
Zamiṅ bichhaayi gayi saatoṅ aasmaan bane
Bashar banaaye gaye khaak se ba hukm-e-Khuda
Inhiṅ bashar meiṅ hue khalq khaas ahl-e-aza
Janaab-e-Fatema Zehra ki ye dua se bane
Karam Husain ka tha khaak-e-Karbala se bane
Phir us Khuda ne har ek ka chaman qaraar diya
Har ek zamiṅ ko kisi ka watan qaraar diya
To Karbala ko hamaara watan qaraar diya
Puchha jahaan ne jab naam o pata
Har maatami ka yehi tha sukhan
Karbala Karbala mera watan
1
Rab ne hi kaun o makaaṅ ko sajaaya
Us ne hi donoṅ jahaaṅ ko basaaya
Hum ko hai nisbat Karbobala se
Hum ko isi mitti se banaaya
Saari dalileṅ paas hai jab
Phir mujh ko kehne meiṅ kya uljhan
2
Karbobala pehchaan hai meri
Karbobala se hi shaan hai meri
Karbobala meri ruh ke andar
Karbobala meiṅ hi jaan hai meri
Mere watan ki misaal nahiṅ
Naazaaṅ hai is par charkh-e-kuhan
3
Mera watan hai zamiṅ auliya ki
Mera watan hai zamiṅ ausiya ki
Ye bhi to fakhr hai mere watan ka
Mera watan hai zamiṅ ambiya ki
Din o shariat ki hai amaaṅ
Din-e-Khuda ka yehi hai chaman
4
Mere watan ka ajab maujiza hai
Khaak bhi is ki khaak-e-shifa hai
Ye darsgaah sabr o raza hai
Is ki hawa meiṅ khushbu-e-wafa hai
Sabr o raza ka wafa ka yehi
Roz-e-azal se raha maskan
5
Zehra ke bete se pehle jo pahuncha
Pesh-e-Muhammad sar ko jhukaaya
Khuld-e-bariṅ ki sanad tujhe de di
Hur se Muhammad ne farmaaya
Hur ne kaha maiṅ rahuṅ ga wahiṅ
Ae mera aaqa Rasul-e-zaman
6
Karbobala hi nasib hai mera
Karbobala meiṅ Habib hai mera
Karbobala mere gham ki dawa hai
Karbobala meiṅ tabib hai mera
Chaahe kahiṅ pe bhi aaye qaza
Karbobala meiṅ ho mera madfan
7
Haaṅ ye zamiṅ bari motabar hai
Chaand sitaaroṅ ki raah guzar hai
Husn yahiṅ se hai shams o qamar ka
Sajdagaah dil shams o qamar hai
Hai kehkashaanoṅ ka naaz yehi
Khuld-e-bariṅ ka yehi hai sehan
8
Haaṅ ye zamin hai dil Zainab ka
Is pe kiya Sajjad ne sajda
Yehi zamiṅ hai Rasul ki masnad
Haaṅ ye zamin Zehra ka musalla
Ji nahiṅ lagta aur kahiṅ
Bole Ali se Imaam-e-Hasan
9
Khaak yahiṅ ki rida-e-haram hai
Qalb-e-Sakina ka marham hai
Laasha-e-Asghar is ne chhupaaya
Sine meiṅ is ke sabhi ka gham hai
Bhaai mera sota hai yahaaṅ
Kehti thi ro ke gharib behan
10
Sine meiṅ is ke hai laasheṅ bahattar
Hai ye zamiṅ gehwaara-e-Asghar
Chhor ke qabr yahiṅ rehti hai
Mahw-e-buka Shabbir ki maadar
Khun-e-shahidaaṅ ki hai amin
Saare shahidoṅ ka hai kafan
11
Karbobala se hai izzat o shohrat
Karbobala se hai meri fasaahat
Ahl-e-aza ke diloṅ ki sada hai
Karbobala hi hamaari hai jannat
Hai mera ishq yehi Safdar
Is pe fida mera tan man dhan