مثل حر قسمت جگا کر دیکھنا
Karbala Ek Baar
Show
مثل حر قسمت جگا کر دیکھنا
مثل حر قسمت جگا کر دیکھنا
کربلا اک بار جا کر دیکھنا
۱
قبر اکبر کہہ رہی ہے دوستوں
نوجواں کی شہادت ایسی ہو
خود کو یوں حق پر مٹا کر دیکھنا
۲
بچپنے کا دوست وہ شہ کا حبیب
روضہء شہ کی ہے دربانی نصیب
اس طرح وعدہ نبھا کر دیکھنا
۳
سینۂ شہ پر ہے اصغر کا مقام
ہائے وہ مظلوم ماں کا لال فام
دل کے جھولے میں جھلا کر دیکھنا
۴
آنسوؤں کے کارواں کو ساتھ لو
قلب کے سوز نہاں کو ساتھ لو
تب دعا کو ہاتھ اٹھا کر دیکھنا
۵
کربلا تطہیر والے کا ہے گھر
کینہ و مکر و حسد کو چھوڑ کر
خود کو تم طاہر بنا کر دیکھنا
۶
حاجیوں سے کہتی ہے قبر نبی
چاہتے ہو تم اگر میری خوشی
اس طرح حج کو سجا کر دیکھنا
۷
دیکھیے عباس غازی کا حرم
آج بھی باقی ہے غازی کا حشم
وہ حرم نظریں جھکا کر دیکھنا
۸
آؤ ماجد چل کے دیکھیں وہ مقام
درد مندوں کو جو کردے شادماں
وقت کو تارہ بنا کر دیکھنا
Karbala Ek Baar
Misl-e-Hurr qismat jaga kar dekhna
Karbala ek baar jaa kar dekhna
1
Qabr-e-Akbar keh rahi hai dostoṅ
Naujawaaṅ ki shahaadat aisi ho
Khud ko yuṅ haq par mita kar dekhna
2
Bachpane ka dost wo shah ka Habib
Rauza-e-shah ki hai darbaani nasib
Is tarha waada nibha kar dekhna
3
Sina-e-shah par hai Asghar ka maqaam
Haaye wo mazlum maaṅ ka laal faam
Dil ke jhule meiṅ jhula kar dekhna
4
Aansuoṅ ke kaarwaaṅ ko saath lo
Qalb ke soz-e-nihaaṅ ko saath lo
Tab dua ko haath utha kar dekhna
5
Karbala tathir waale ka hai ghar
Kina o makr o hasad ko chhor kar
Khud ko tum taahir bana kar dekhna
6
Haajiyoṅ se kehti hai qabr-e-Nabi
Chaahte ho tum agar meri khushi
Is tarha hajj ko saja kar dekhna
7
Dekhiye Abbas-e-Ghaazi ka haram
Aaj bhi baaqi hai Ghaazi ka hasham
Wo haram nazreṅ jhuka kar dekhna
8
Aao Majid chal ke dekheṅ wo maqaam
Dard mandoṅ ko jo kar de shaadmaaṅ
Waqt ko taara bana kar dekhna