Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

کربلا ایک آفتاب اور اسکی تنویریں بہت

Karbala Ek Aaftab

Add to set
Show

کربلا ایک آفتاب اور اسکی تنویریں بہت

کربلا ایک آفتاب اور اسکی تنویریں بہت اک کتاب آگہی جسکی ہے تفسیریں بہت کربلا کربلا ایک آفتاب
۱ پنجتن کے نقش سینے میں سجا کر رکھ لیے کتاب تقدیر نے دکھلائی تصویریں بہت
۲ ہے بہتر تن شریک مقصد ذبح عظیم اک قلیلی خواب تھا جسکی ہے تعبیریں بہت
۳ فوق اکبر نے اذاں میں بھر دیا کچھ اور رنگ یوں تو محشر تک سنی جائیں گی تکبیریں بہت
۴ نصرت حق میں تیری عقبہ بنی حر جری ہاتھ مل کر رہ گئی دنیا کی جاگیریں بہت
۵ رک سکا کب راستہ شیر خدا کے شیر کا روکنے کو لاکھ تھی ساحل پہ شمشیریں بہت
۶ بے زباں اصغر نے پتھر دل ہلا کر رکھ دیے سن چکے تھے اشقیا پر سوز تقریریں بہت
۷ گوشوارے کھینچ کر گھڑکا طمانچے بھی لگائے جیسے تھی اس پھول سی بچی کی تفسیریں بہت
۸ بیڑیاں پیروں میں اور گردن میں طوق خاردار پھر بھی پہنائی گئی عابد کو زنجیریں بہت

Karbala Ek Aaftab

Karbala ek aaftaab aur uski tanwireṅ bahut Ek kitaab-e-aagahi jiski hai tafsireṅ bahut Karbala Karbala ek aaftaab
1 Panjatan ke naqsh sine meiṅ saja kar rakh liye Kitaab-e-taqdir ne dikhlaai taswireṅ bahut
2 Hai bahattar tan sharik-e-maqsad-e-zibh-e-azim Ek qalili khwaab tha jiski hai taabireṅ bahut
3 Fauq-e-Akbar ne azaaṅ meiṅ bhar diya kuchh aur rang Yuṅ to mahshar tak suni jaayeṅgi takbireṅ bahut
4 Nusrat-e-haq meiṅ teri uqba bani Hurr-e-jari Haath mal kar reh gayi duniya ki jaagireṅ bahut
5 Ruk saka kab raasta Sher-e-Khuda ke sher ka Rokne ko laakh thi saahil pe shamshireṅ bahut
6 Bezabaaṅ Asghar ne patthar dil hila kar rakh diye Sun chuke the ashqiya pur soz taqrireṅ bahut
7 Goshwaare khinch kar ghurka tamaache bhi lagaaye Jaise thi us phul si bachchi ki tafsireṅ bahut
8 Beriyaaṅ pairoṅ meiṅ aur gardan meiṅ tauq-e-khaardaar Phir bhi pehnaai gayi Aabid ko zanjireṅ bahut