ظلم جب بھی تھا اب بھی ہے مجھ پر یہاں
Kar Rahi Hai Lehad Se
Show
ظلم جب بھی تھا اب بھی ہے مجھ پر یہاں
ظلم جب بھی تھا اب بھی ہے مجھ پر یہاں
بابا جاں بابا جاں
کر رہی ہے لحد سے سکینہ فغاں
بابا جاں بابا جاں
۱
جلد بھجوائیے اب علمدار کو
بدلہ لینا ہے کربل کے غم خوار کو
رو کے یہ کہہ رہی ہے میری دادی جاں
بابا جاں بابا جاں
۲
یہ وہی نسل ہے جس نے بے شیر کی
کھودی ننھی لحد میرے دلگیر کی
اب مزاروں کو توڑیں گے ظالم یہاں
بابا جاں بابا جاں
۳
توڑ ڈالی لحد تیرے غم خوار کی
ہجر کی بھی لحد اور عمار کی
کس قدر ظلم ہوتا ہے ہم پر یہاں
بابا جاں بابا جاں
۴
توڑنے روضے آئے ہیں اغیار اب
آپ کی ہے مدد ہم کو درکار اب
آ کے ہم کو بچا لو میرے بابا جاں
بابا جاں بابا جاں
۵
ظلم جو ڈھا رہے ہیں یہ سلفی ہے سب
کربلا کے منافق یزیدی ہیں سب
ظالموں سے بچا لو ہمیں عمو جاں
بابا جاں بابا جاں
۶
خوں نکلتا تھا کانوں سے جب بھی میرے
درد ہوتا ہے کانوں میں اب بھی میرے
مجھ پہ روتی رہی خوں بھری بالیاں
بابا جاں بابا جاں
۷
شمر نے تب بھی مارے طمانچے مجھے
تازیانے لگائے تھے درے مجھے
بالیاں کھینچی کانوں سے خوں تھا رواں
بابا جاں بابا جاں
۸
ہاشمی نے یہ رو رو کے نوحہ کہا
پڑھ کے عرفان بھی نوحہ رونے لگا
رونے والوں کو دیں گی دعا دادی جاں
بابا جاں بابا جاں
Kar Rahi Hai Lehad Se
Zulm jab bhi tha ab bhi hai mujh par yahaaṅ
Baaba jaaṅ baaba jaaṅ
Kar rahi hai lahad se Sakina fughaaṅ
Baaba jaaṅ baaba jaaṅ
1
Jald bhijwaaiye ab Alamdar ko
Badla lena hai Karbal ke ghamkhwaar ko
Ro ke ye keh rahi hai meri daadi jaaṅ
Baaba jaaṅ baaba jaaṅ
2
Ye wohi nasl hai jis ne beshir ki
Khodi nanhi lahad mere dilgir ki
Ab mazaaroṅ ko toreṅ ge zaalim yahaaṅ
Baaba jaaṅ baaba jaaṅ
3
Tor daali lahad tere ghamkhwaar ki
Hujr ki bhi lahad aur Ammar ki
Kis qadar zulm hota hai ham par yahaaṅ
Baaba jaaṅ baaba jaaṅ
4
Torne rauze aaye haiṅ aghyaar ab
Aap ki hai madad ham ko darkaar ab
Aa ke ham ko bacha lo mere baaba jaaṅ
Baaba jaaṅ baaba jaaṅ
5
Zulm jo dhaa rahe haiṅ ye salfi hai sab
Karbala ke munaafiq Yazidi haiṅ sab
Zaalimoṅ se bacha lo hameiṅ ammu jaaṅ
Baaba jaaṅ baaba jaaṅ
6
Khuṅ nikalta tha kaanoṅ se jab bhi mere
Dard hota hai kaanoṅ meiṅ ab bhi mere
Mujh pe roti rahi khuṅ bhari baaliyaaṅ
Baaba jaaṅ baaba jaaṅ
7
Shimr ne tab bhi maare tamaanche mujhe
Taaziyaane lagaaye the durre mujhe
Baaliyaaṅ kheṅchi kaanoṅ se khuṅ tha rawaaṅ
Baaba jaaṅ baaba jaaṅ
8
Hashmi ne ye ro ro ke nauha kaha
Parh ke Irfan bhi nauha rone laga
Rone waaloṅ ko deṅ gi dua daadi jaaṅ
Baaba jaaṅ baaba jaaṅ