ہائے شام غریباں
Kar Rahi Hai Dastane
Show
ہائے شام غریباں
ہائے شام غریباں
کر رہی ہے داستانِ غم بیاں خیموں کی راکھ
ہائے یہ قسمت کہاں زینب کہاں خیموں کی راکھ
۱
سر چھپانے کے لئے جائے بھی تو جائے کدھر
خوں کے پیاسے نظر آتے ہیں تا حد نظر
دور تک پھیلی ہے زیر آسماں خیموں کی راکھ
۲
عالم اسلام کو غیرت دلانے کے لئے
ظلم کس حد تک ہوئے ہے یہ بتانے کے لئے
لے گئی ہے شام تک سیدانیاں خیموں کی راکھ
۳
کربلا کی خاک پر خوں میں نہا کر سو گئے
ناز زینب کو تھا جن پر قتل وہ سب ہو گئے
کاش اڑتے دیکھتے پیر و جواں خیموں کی راکھ
۴
بیڑیاں نیزے رسن پتھر عطش اور گھرکیاں
کیا یہی قسمت میں لکھا تھا کہ دیکھے ہم یہاں
نیزہ و شمشیر و خنجر برچھیاں خیموں کی راکھ
۵
ہم اسے غربت سکینہ کی کہیں یا بے بسی
سر چھپانے کے لئے جانِ حسین ابنِ علی
ڈالتی ہے سر میں بھر کے مٹھیاں خیموں کی راکھ
۶
راکھ نے بہتے لہو کو جذب جس دم کر لیا
چند لمحے ہی صحیح پر دیکھنے میں یوں لگا
بن گئی کانوں کی جیسے بالیاں خیموں کی راکھ
۷
رحمتوں کا رات دن واللہ ہوتا ہے نزول
کھل رہے ہیں آج اس جا صبر شبیر کے پھول
چار سو پھیلی ہوئی تھی کل جہاں خیموں کی راکھ
۸
اللّٰہ اللّٰہ کربلا سے شام تک کا امتحان
کر نہیں سکتا کوئی آصف کسی صورت بیان
شادماں اس غم میں خود ہے نوحہ خواں خیموں کی راکھ
Kar Rahi Hai Dastane
Haae shaam-e-gharibaaṅ
Kar rahi hai daastaan-e-gham bayaaṅ khaimoṅ ki raakh
Haae ye qismat kahaaṅ Zainab kahaaṅ khaimoṅ ki raakh
1
Sar chhupaane ke liye jaaye bhi to jaaye kidhar
Khuṅ ke pyaase nazar aate haiṅ taa hadd-e-nazar
Dur tak phaili hai zer aasmaaṅ khaimoṅ ki raakh
2
Aalam-e-Islam ko ghairat dilaane ke liye
Zulm kis had tak hue hai ye bataane ke liye
Le gayi hai Shaam tak saiyidaaniyaaṅ khaimoṅ ki raakh
3
Karbala ki khaak par khuṅ meiṅ naha kar so gaye
Naaz Zainab ko tha jin par qatl wo sab ho gaye
Kaash urte dekhte pir o jawaaṅ khaimoṅ ki raakh
4
Beriyaṅ neze rasan patthar atash aur ghurkiyaaṅ
Kya yahi qismat meiṅ likha tha ke dekhe ham yahaaṅ
Neza o shamshir o khanjar barchhiyaaṅ khaimoṅ ki raakh
5
Ham ise ghurbat Sakina ki kaheiṅ ya bebasi
Sar chhupaane ke liye jaan-e-Husain ibn-e-Ali
Daalti hai sar meiṅ bhar ke mutthiyaṅ khaimoṅ ki raakh
6
Raakh ne behte lahu ko jazb jis dam kar liya
Chand lamhe hi sahi par dekhne meiṅ yuṅ laga
Ban gayi kaanoṅ ki jaise baaliyaaṅ khaimoṅ ki raakh
7
Rehmatoṅ ka raat din wallah hota hai nuzul
Khil rahe haiṅ aaj is jaa sabr-e-Shabbiri ke phul
Chaar su phaili hui thi kal jahaaṅ khaimoṅ ki raakh
8
Allah Allah Karbala se Shaam tak ka imtihaan
Kar nahiṅ sakta koi Asif kisi surat bayaan
Shadmaaṅ is gham meiṅ khud hai nauhakhwaaṅ khaimoṅ ki raakh