کہاں اہل عزا اپنا فریضہ بھول جاتے ہیں
Kahaaṅ Ahl-e-Aza Apna Fariza Bhul Jaate Haiṅ
Show
کہاں اہل عزا اپنا فریضہ بھول جاتے ہیں
کہاں اہل عزا اپنا فریضہ بھول جاتے ہیں
غمِ شبیر میں ہم دردِ دنیا بھول جاتے ہیں
۱
میں ان کو حافظِ قرآن کیسے مان لوں واعظ
جو قرآن یاد کر کے ب کا نقطہ بھول جاتے ہیں
۲
انہیں ویسے رسول اللہ کی باتیں تو ازبر ہیں
مگر میدانِ خم میں کیا ہوا تھا بھول جاتے ہیں
۳
شبِ معراج کا قصہ سناتے ہیں عقیدت سے
نبی سے کون تھا پردے میں گویا بھول جاتے ہیں
۴
شجاعت کی یہ اوروں کا قصیدہ پڑھتے رہتے ہیں
علی اصغر کے ہنسنے کا سلیقہ بھول جاتے ہیں
۵
یہ کیسے کارواں ہیں جو مدینے تک تو جاتے ہیں
مگر کرب و بلا جانے کا راستہ بھول جاتے ہیں
۶
بیان کرتے ہیں اکثر دین کی تاریخ کلمہ گو
ابو طالب کا خون مالِ خدیجہ بھول جاتے ہیں
Kahaaṅ Ahl-e-Aza Apna Fariza Bhul Jaate Haiṅ
Kahaaṅ ahl-e-aza apna fariza bhul jaate haiṅ
Gham-e-Shabbir meiṅ ham dard-e-duniya bhul jaate haiṅ
1
Maiṅ un ko haafiz-e-Quraan kaise maan luṅ waaiz
Jo Quraan yaad kar ke ba ka nuqta bhul jaate haiṅ
2
Inheiṅ waise Rasul Allah ki baateiṅ to azbar haiṅ
Magar maidaan-e-Khum meiṅ kya hua tha bhul jaate haiṅ
3
Shab-e-Meraaj ka qissa sunaate haiṅ aqidat se
Nabi se kaun tha parde meiṅ goya bhul jaate haiṅ
4
Shujaat ki ye auroṅ ka qasida parhte rehte haiṅ
Ali Asghar ke haṅsne ka saliqa bhul jaate haiṅ
5
Ye kaise kaarwaaṅ haiṅ jo Madine tak to jaate haiṅ
Magar Karb o Bala jaane ka raasta bhul jaate haiṅ
6
Bayaan karte haiṅ aksar din ki taarikh kalma go
Abu Talib ka khun maal-e-Khadija bhul jaate haiṅ